Jeevan Kee Naiya Mein Savaar (05/28/2023)

May 28, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#1925

       Jeevan Kee Naiya Mein Savaar

Guruji, mere sundar sarkar
Mai jeevan kee naiya mein savaar
Karti hui divya inaayat ka intazaar
Pahunchi hoon Aapke dwaar.

Aapka pyaar hai meri naiya kee pavitra patvaar
Aap Hain khivaiya, lekar jaane wale uss paar
Chaahe aayein shant leherein ya phir tufaan dushvaar
Aapne hee karna hai har haalaat mein uddhaar.

Aur kisee ka dwaar kyun mai khatakhataaoon
Mai toh Aap par sab chodti jaaoon
Bharosa daan deejiye aisa ki atal reh paaoon
Saboori daan deejiye aisa ki dheeraj na haar jaaoon.

Naiya kaise dolegi
Leher kya kya bolegi
Manzil kab kiskee ho legi
Ye toh kewal Aap hee jaanein.

Vayu kaise badalegi rukh
Kab hoongi mai antarmukh
Kaise katenge kasht aur dukh
Aapke alawa koi na jaane.

Aapki kripa se
Bin ghabraaye naiya mein hoon savaar
Aapki mehar ke liye
Aapka dhanyawaad karti jaaoon baarambaar.

Patvaar hai itnee pavitra
Khivaiya ka hai sarvottam charitra
Aap khivaiya Hain swayam Mahadev roopi avatar
Karunanidhaan Hain Aap, kalyaan karta kartar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jeevan Kee Naiya Mein Savaar (05/28/2023)

Leave a comment