Bhaagya Kee Pari Aur Fakir (06/30/2023)

June 30, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1958

     Bhaagya Kee Pari Aur Fakir

Bhaagya kee pari aayi
Sangg ek chhadi laayi
Jaadu kee nahin, kalyaan kee
Thee veh Guruji ke naam kee.

Guruji ne usey bheja fakir ke paas
Jabb veh dekh raha thaa sapna
Taaron kee chaadar ke taley leta thaa ghaas par
Koi bhi toh nahin thaa uska apna.

Bhaagya kee pari ne usey bataaya
Ki Guruji ka naam jisne bhi dhyaaya
Veh kabhi bhi na pachhtaaya
Kyunki Guruji ne uska beda paar lagaaya.

Guruji kee baatein karte karte
Bhaagya kee pari bhaav vibhor hui
Swapn toota jabb uss fakir ka
Uss pal hee bhor hui.

Akash mein bhi, aur fakir ke jeevan mein bhi
Usey yaad aayi swapn wali bhaagya kee pari
Usne Guruji ka naam japna kar diya shuru
Uska bhaagya khil gaya jo usey mil gaye Guru.

Uss pal se lekar aaj takk
Veh Guruji ka gungaan karta hai athak
Guruji kee mehar roshan karti hai uskee raah
Dukhi thaa kabhi jo fakir, vo abb hai mastt aur beparwaah.

Veh jaan gaya, veh maan gaya
Ki veh surakshit hai Guruji kee sharan mein
Jo bhi ho raha hai uske jeevan mein
Guruji usey akela na chodenge kisee bhi kshan mein.

Sab kuch Guruji par diya hai usne chod
Usey andhere mein bhi nazar aati hai bhor
Yaad aati hai usey veh pari jo hui thi bhaav vibhor
Aur veh Guruji aur pari ka shukrana karta hai haath jod.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Bhaagya Kee Pari Aur Fakir (06/30/2023)

Guruji Hotey Hain Angg Sangg (06/29/2023)

June 29, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1957

     Guruji Hotey Hain Angg Sangg

Guruji Hotey Hain angg sangg
Jab jab hum karte hain Unhe yaad
Guruji Hotey Hain angg sangg
Jab jab hum karte hain Unse fariyaad
Ve Hotey Hain angg sangg
Agar Ve hamein yaad bhi na aayein
Ve Hotey Hain angg sangg
Taaki hum gumraah na ho jaayein
Unke angg sangg honei se hee toh hai ye jeevan aabaad
Unke angg sangg honei ka bahut anmol hai jazbaat.

Unkee bakhshi Gurbani
Unkee dee zindagaani
Unka taarna hamein har pal
Unka sanvaarna hamaari naadaan akal.

Unka nikaalna hamein vehem se
Unka oopar uthaana hamein apne ahem se
Unka le jaana hamein neevenpann ke sarovar mein
Unka dena hamein sewa ka mauka apne dar aur ghar mein.

Unkee maujoodagi har satsang mein
Unkee chamak har rangg mein
Unka hamaare bin kuch kahe bhi sab sunn lena
Unka apne sabhi bhakton ko itna sukh dena.

Unka kiya kalyaan athak
Unka yaad dilaana ki hum na jaayein bhatak
Unkee komalta bhari mamta
Unkee meharbaani bhari kshamta
Unkee sundar masoom muskaan
Unke seedhi taar se aate huey paigaam
Unka hamaare liye itna kuch sehna
Unka humse β€˜Kalyan kitta’ ye kehna
Unka har vachan
Unka har hukm
Koi antt hee nahin hai Unkee mahima ke bakhaan ka
Kumm padd jaaye sabse ooncha shabd bhi jahaan ka.

Ghabraane kee koi baat nahin
Guruji angg sangg na ho, aisa kabhi ho sakta nahin
Guruji Hotey Hain angg sangg har pal har ghadi
Ye sachchaayee aur ye tasalli hai sabse badi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Hotey Hain Angg Sangg (06/29/2023)

Jinkee Nadar Se (06/28/2023)

June 28, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1956

                  Jinkee Nadar Se

Jinkee nadar se bhakti par aaye nikhaar
Jinke har roop se ho jaaye behad pyaar
Jinke saanidhya mein tufaan bhi bann jaaye bahaar
Unn param poojya pooran Guruji ko namaskaar.

Sabse shubh pal veh raha hoga
Jis pal Guruji ne liya Apni sharan mein
Kyunki usee pal upaay shuru hua hoga
Har dukh dard ke haran mein.

Suna thaa jitna Guruji kee mehar ke vishay mein
Usee se raahat milne lagi thi sanshay mein
Unkee kripa se jaise jaise aagey badhne lagaa safar
Toh mann shukrana mein jhukta gaya paakar Unkee nadar.

Mushkilein khatm ho gayin, aisa nahin
Lekin itnee mamta se Guruji kee rehmat bahi
Ki kathin samay ko sehena hua pehle se aasaan
Aur Unhonei kiya chunautiyon ka saamna karne ka intazaam.

Rehte Hain Ve bheetar aur saath har pal
Ve jaante Hain ki mere jeevan mein kya hoga kal
Jaanti hoon ki sarvsamarpan karna nahin hai saral
Guruji ka shukr hai ki Unkee raza mein rahi hoon chal.

Mere jeevan ko de rahe Hain jo aakaar
Jinkee kripa se purusharth yakeenan hoga saakaar
Jinkee sharan mein milta hai mujhe niswaarth pyaar
Unn param poojya pooran Guruji ko namaskaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jinkee Nadar Se (06/28/2023)

Vishwaas Ke Vimaan Par (06/27/2023)

June 27, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1955

        Vishwaas Ke Vimaan Par

Lekar sach ka sahaara
Chadha yaatri vishwaas ke vimaan par
Baitha samarpan kee seat par
Preet kee peti baandh kar.

Bhakti kee bhasm thee jism par
Mastak par thaa shraddha ka shringar
Chehre par thi anokhi chamak
Naynon mein thaa nirmal noor.

Bholi si thi uskee bhavna
Kalyaan kee thi usey kaamna
Na darr raha thaa safar se
Balki dekh raha thaa usey kadar se.

Vairagya kee vaani mein
Gungunaa raha thaa gyan ka geet
Shukrana ka shankh bajaa kar kaha usne
Ki Mahadev aur Unkee mehar hee hain meet.

Bholenath kee dhun mein
Bhaav vibhor ho gaya uska mann
Khushboo aayee Unkee
Uskee veh khwaahish hui poori usee kshan.

Dikha usey saumya swaroop apne samaksh
Dhanya hua paakar darshan pratyaksh
Guruji de rahe thei Shiv roopi darshan
Kaamp utha veh, aisa oorjamayi thaa spandan.

Kshama maangte huey ashru bahe uss kshan
Dhul gaya uske dil ka darpan
Ruh ka ravi ho gaya roshan
Paa kar Shiv kee sukhad sharan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Vishwaas Ke Vimaan Par (06/27/2023)

Sundar Sa Sansaar Ho (06/26/2023)

June 26, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1954

            Sundar Sa Sansaar Ho

Brahmand mein swaarth ka nahin koi kaam
Jo swaarth karey usey nahin mil sakta aaraam
Swaarth mann kee shanti ko lagaa deta hai poornaviraam
Aur namumkin sa ho jaata hai pahunchna sachkhand ke dhaam.

Phool apni sugandh de bin soche bin samjhe
Chidiya chehekey aur gaaye bin swaarth mein ulajhe
Sooraj kee kiran aur chaand kee chandni sabhi par padey
Hawaa ka koi jhonka doosre jhonke se na ladey.

Chauraasi lakh yoniyon ke baad milta hai maanav janam
Unmein phir phansne se bachne ke liye Guruji kee maan kar banda jaayein bann
Niswaarthta apnaayein hum
Toh sanvar jaaye janam maran.

Swaarth laaye niraasha aur ashanti
Swaarth se kumm ho antas kee kanti
Swaarth laaye rog aur udaasi
Swaarth bann jaaye ek ziddi nivaasi.

Swaarth hai zeher samaan
Na karein iska paan
Guruji kee dee sumat par har koi chal paaye
Toh swaarth duniya se duur ho jaaye.

Saamanjasya kee bahaar ho
Niswaarthta aur pyaar ho
Sabhi ka uddhaar ho
Sundar sa sansaar ho.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sundar Sa Sansaar Ho (06/26/2023)

Har Janam Mein (06/25/2023)

June 25, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1953

                 Har Janam Mein

Shukr hai Guruji, mere daata
Ki Aapse juda mera naata
Naman Aapki nirmal nadar kee neher ko
Jo sambhaale mere jeevan ke har lamhe kee leher ko.

Bin disha ke kisee tareh toh leti mai jee
Lekin Aapke naam ka amrit na paati pee
Bechayyn hee rehta mann
Aur sarthak na hota jeevan.

Kahaan se aayi hoon?
Kahaan mujhe hai jaana?
Kya hai ye sab mere aaspaas?
Kahaan aur kya hai asal khazaana?

Ye sabb sawaal bin jawaab ke reh jaate
Mann ke daitya aur dev ye na seh paate
Unke beech ka yuddh badhta jaata
Unmein se ek ka paraakram chadhta jaata.

Na hoti Aapki MahaShiv roopi sharan mein
Toh yakeenan daitya hee jeet jaate
Mann mein na rehta dev roopi sadgunon ke liye sthaan
Mann apne avagunon ke vash mein maan leta unhe hee meharbaan.

Aapne simran dekar shuru kiya antas ka pavitrikaran
Aapki mehar karegi vikaaron, paapon, avagunon ka haran
Ek pal bhi na bhooloon karna Aapka aur Aapki meharbaniyon ka smaran
Mujhe har janam mein sharan dein Aapke kamal charan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Har Janam Mein (06/25/2023)

Chal Rahi Thi Hawaa Mandd Mandd (06/24/2023)

June 24, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1952

Chal Rahi Thi Hawaa Mandd Mandd

Chal rahi thi hawaa mandd mandd
Guruji ne likhwaaye shabd chandd
Mann mein dekhi Unkee muskaan mandd
Achaanak aayi Unkee ruhaani sugandh.

Utsah kee tarang mann mein umadne lagi
Shabdon se arzi bann-ne lagi
Mann mein satsang kee chaah jagi
Guruji kee mehar se vahaan kee raah dikhee.

Goonj rahi thi vaani
Lagaa jaise hai Gurbani
Guru kripa se sahi thaa andaaza
Divya dhun mein ramne lagaa mann pyaasa.

Tezi se aagey badhne lagey kadam
Ki kaheen shabad na ho jaayein khatam
Dikhne lagaa ek chandova sundar
Jald hee jhaank kar dekha uske bheetar.

Sajaa thaa pyaara sa darbaar
Saadagi se paripoorna
Aasaan par ho rahe thei Guruji ke ruhaani darshan
Unke divya spandan se oorjit thaa vaataavaran.

Sangat baithi thi simran mein
Guruji ke kamal charan mein
Mujhe bhi mila chai prasad ka ashirwaad
Mai bhi Guru kripa se dhyan mein baithi uske baad.

Jaap aur arti ke pashchaat aur langar prasad se pehle
Kuch sangat ne Guruji kee mahima ke apne anubhav sunaaye
Kuch ne bataaya kaise ve Guruji kee sharan mein aaye
Antt mein kisee kisee ne Guruji kee vadiyaayee mein geet bhi gaaye.

Sabhi Guruji se agya lekar
Bin ek dooje se koi baat kiye
Vahaan se karne lagey prasthaan
Lekin chandova na hua veeraan.

Kyunki Guruji kee maujoodagi ka ehsaas thaa itna prabal
Veh khushboo, veh spandan, veh vibhooshit vayumandal
Vahaan se jaane ka na kar raha thaa mann
Mehsoos hua ki Guruji ne bulaaya usee kshan.

Unke ruhaani aadesh ke paalan mein
Pahunchi paas Unke aasan ke
Achanak ek titlee gayi Unke charnon par se mandaraati hui
Usne jaate jaate meri anguli chui.

Meri bhaav vibhor aankhon se ek aansoo tapka
Sab jaa chuke hain, mai bhool chuki thi kab ka
Mezbaan sangat ne jabb diya mere haath mein ek phool
Tabb mainey Guruji ko maatha teka aur phool par lagi Unke charnon kee dhool
Guruji sangg judi seedhi taar dwaara milee Guruji se agya
Unka shukrana kiya ki khul gaya Unkee sharan mein mera bhaagya.

Phool ko maathe se lagaakar
Mai ghar ke liye niklee
Vaapasi mein bhi yaad aa rahe thei
Satsang ke lamhe aur veh titlee.

Chandd shabdon kee meri arzi
Bann gayi Guruji kee mehar se Unkee marzi
Unhonei satsang mein bulaaya
Apna ashirwaad barsaaya
Charul chandove kee chhaaon mein
Baithaaya Apne paawan paaon mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Chal Rahi Thi Hawaa Mandd Mandd (06/24/2023)

Na Daud Abb Kaheen Aur (06/23/2023)

June 23, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1951

            Na Daud Abb Kaheen Aur

Na jee tu har pal darr kar
Guruji ka haath hai tere sir par
Tu aaya hai apne kar jod kar
Pyaare Guruji ke divya dar par.

Maana ye hai kalyuga ka waqt maada
Lekin tujh par chadha hai bhakti ka rangg gaadha
Tu buss nibhaata chal apna kartavya
Guruji sambhaalenge tere kaaj anya.

Tu nahin lagaa sakta andaaza
Ki Unhe hai teri kitnee fikr
Ve toh veh sab bhi jaante Hain
Jiska tu karta nahin hai Unse zikr.

Balki ho sakta hai ki tujhe bhi na ho gyat
Ki jiskee vajeh se tu hai udaas, vo hai kaunsi baat
Kintu Guruji jaanein sab kuch
Beshak maamala bada ho ya ho tuchh.

Phir kaahe ka darna
Kyun jeete jee marna
Guru charnon mein ho raha hai tera tarna
Isliye abb chod de chinta karna.

Guruji hee Hain prerna
Guruji hee Hain chetna
Guruji hee Hain samvedana
Guruji hee mitaayein vedanaa.

Darna chod
Sanshay ko toad
Guruji ne thaami hai teri doar
Isliye na daud abb kaheen aur.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Na Daud Abb Kaheen Aur (06/23/2023)

Guru Prem Ka Geet (06/22/2023)

June 22, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1950

              Guru Prem Ka Geet

Guru prem ka geet mai gaaoon
Gaate gaate aksar jhuk jaaoon
Kho jaaoon Guruji ke khayaalon mein
Unke spandan se bhari hawaaon mein.

Phir Guruji hee yaad dilaayein
Aur mere labb Unka navaaza hua geet gaayein
Kanth se nikle jo awaaz
Usey Guruji kee bakhshish miley
Geet mein ho jo saaz
Veh bhi Unkee kripa se khiley.

Prem ke geet mein prem ke sangg
Behti hai meri oar se shukrana kee tarang
Geet mein arzi hai ki kar dein Ve kshama
Jo bhi huey hain aur hongei mujhse gunah.

Bakhshish maangoon geet mein
Pavitrata maangoon apni preet mein
Maangoon Unse Unhee ko
Toh jaaye poori har kamee ho.

Geet Unka Unhee se ho
Mai Unmein jaaoon kho
Unmein khokar paaoon mai vo
Kaheen aur na mil paaye jo.

Vo simran, vo satsang
Vo sewa, vo ruhaani rangg
Vo ullaas, vo utsaah
Vo Unke naam se roshan raah.

Vo sukoon, vo shanti saral
Vo dhairya, vo vishwaas vimal
Vo sahaanubhooti, vo prem
Sab hai Guruji kee dein.

Unhee se zindagi banee hai ek geet
Unhee se subah shaam banaa hai sangeet
Unkee mahima ka karte huey bakhaan
Guzar jaaye jeevan kee ye dastaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guru Prem Ka Geet (06/22/2023)

Anginat Baar (06/21/2023)

June 21, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1949

                  Anginat Baar

Guruji aseem Hain, Hain Ve anant
Ve kewal Guru nahin, balki Hain Ve Bhole Bhagwant
Guruji ko sambodhit karne ke liye
Bolta nahin koi bhakt Unka naam
Naam se seemit honei kee toh gunjaaish hee nahin
Unke liye, jo swayam hee Hain Bhagwaan.

Anginat naam bhi na kar paayein
Unkee mahima ka bakhaan
Har akshar aur shabd chhota hai aukat mein
Itne utkrisht, aise anoop Hain Guruji mahaan.

Devtaaon aur rishiyon ne anek naamon se
Kiya hai Shiv Bhagwaan ka vandan aur chintan
Har naam mein Unkee visheshta hai bayaan
Har naam mein hai Unke mahatmay ka spandan
Lekin ve itne saare naam bhi lagte hain chhote aur kumm
Jabb kiya jaaye Unke prabhutva ka varnan.

Shiv toh swami Hain samay ke
Aur uske vinaashak bhi Hain bin sanshay ke
Unke liye agamya nahin hai Brahmand mein koi bhi sthaan
Sarvavyapi Hain Ashutosh Bholenath Karunanidhaan.

Guruji MahaShiv roopi Hain
Samay aur sthaan kee seema se parey
Swayam MahaDev, avataron se parey
Hain Ve swayam hee Naad
Hain dayalu Deenanath.

Ve swayam anant
Unkee daya anant
Unka gyan anant
Unkee kripa anant
Unkee mahima anant
Unke roop anant.

Ish ka swaroop Hain Ve, Hain anupam aur apaar
Le jaayein bhakton ko bhavsaagar ke paar
Aise anant Bhagwant roopi Guruji ko namaskaar
Kewal ek baar nahin, sahastra baar nahin, balki anginat baar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Anginat Baar (06/21/2023)