June 1, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#1929
Kadam Kadam Tu Chalta Chal
Kadam kadam tu chalta chal
Kisee na kisee kadam par zaroor milega hal
Har mushkil ka
Har duvidha ka.
Guruji Hain tere sangg
Chhaaye hain bhakti ke rangg
Sudhar rahe hain tere dhangg
Tere mann mein hai umang.
Is umang ko rakhte huey barkaraar
Tu karta chal Guruji se apne pyaar ka izhaar
Aisa safar tu nahin kar raha hai pehli baar
Tujhe yaad nahin, lekin sab yaad rakhte Hain Guru sarkar.
Tere har janam ke har karam ka Guruji ko hai pataa
Tu beshak Unhe na bataa
Teri har duvidha aur mushkil kee hai Unhe khabar
Unkee mehar se hee beet raha hai tera safar.
Rakh tu shraddha aur sabr
Karta chal Unka shukr
Kathin waqt bhi jaayega guzar
Nahin rukta koi pal ya peher.
Unhe hai teri har duvidha kee pehchaan
Ve teri har mushkil ko kar rahe Hain aasaan
Ve teri har samasya ka karenge samaadhaan
Tu jaanta hai ki Ve Hain karunanidhaan.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Kadam Kadam Tu Chalta Chal (06/01/2023)