June 4, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#1932
Shukrana Kee Shehnaayee Mein
Pyaare Guruji Maharaj,
Vikaaron mein mann aise jhoola hai
Ki veh apna raasta bhoola hai
Sikha deejiye mann ko samet paane ka hunar
Taaki veh pravesh kar paaye bhakti ke dwaar ke bheetar.
Guruvar pyaare, jabb se Aapne Apne charan mein dee hai mujhe sharan
Tabb se itna badal sa gaya hai jeevan
Ye nahin ki mushkilein huin hai kumm
Lekin antas par asar karne laga hai abb Aapka spandan.
Badal gaya hai nazariya
Badh gaya hai chaav manan aur chintan ka
Jabb jabb Aap mauka dete Hain simran ka
Tabb tabb shodhan ho paata hai mann ka.
Agar mere mann ko hoti hai pareshaani
Toh swayam par hoti hai hairaani
Lagta hai mann kar raha hai bahut naadaani
Usne Aapki rehmat kee kadar na hai jaani.
Aapki karuna se mann ko miley raasta aur disha
Aapki kripa se mann kee khiley dasha
Aapki agya mein rahoon har ghadi
Meri aukat kuch nahin, Aapki rehmat sabse badi.
Zamaana dhaaye beshak jaise bhi sitam
Mai na karoon maade karam
Na bhooloon ki imtehaan hai ye jeevan
Na bhooloon ki asthaayi hai khushi aur gumm.
Bahuton se achche hain haalaat mere, mai rakhoon is satya ko yaad
Vyarth kee maangon se na ganvaaoon apni fariyaad
Aapki rehmat ke ras mein yoon jaaoon mai ramm
Ki shukrana kee shehnaayee mein gum jaaye mera har gumm.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Shukrana Kee Shehnaayee Mein (06/04/2023)