June 13, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#1941
Bhola Bhaav Laagey Guruji Ko Bahut Hee Pyaara
Ahem se bhar gaya tark ka ghaav
Jabb usne dekha kitna bhola hai bhakti ka bhaav
Bhaav se naaraaz honei lagaa tark
Lekin bhaav ko na pada uss se koi fark.
Bhaav ne tark ko bahut samajhaaya
Lekin shaayad tark ka waqt nahin thaa aaya
Veh ahem ke ghaav ke moh mein bhatka
Kintu bhola bhaav apne bahaav mein na atkaa.
Balki baandh kar Guruji ke naam ka sehra
Bhaav honei lagaa bholepan mein aur bhi gehra
Guruji mein magan, lagaakar Unmein lagan
Bhaav behta chalaa duur takk
Jahaan pahunch na paaya tark.
Tark hisaab-kitaab mein raha vyast
Bhola bhaav pyaar mein hua vyast
Bhaav behte behte pahuncha neevenpann kee gehraayee mein
Tark mandaraata raha ahem kee oonchaayee mein.
Tark ko thi apne ohade kee fikr
Bhola bhaav manaata chala shukr
Tark dekhta raha khokhle sawaal jawaab ka darpan
Bhole bhaav ne kiya Guru charnon mein poorna samarpan.
Tark peechhe chhoot kar reh gaya
Bhaav ne Guruji se apna kehna keh diya
Bhaav ko kar ke sweekaar
Guruji ne sunn lee uskee pukaar.
Tark ko Guruji kee praapti na ho paayi
Bhaav ne paayi Guruji aur Unkee vadiyaayee
Guruji prasann Hon bhakton ke bhole bhaav dwaara
Bhola bhaav laagey Guruji ko bahut hee pyaara.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Bhola Bhaav Laagey Guruji Ko Bahut Hee Pyaara (06/13/2023)