Vishwaas Ke Vimaan Par (06/27/2023)

June 27, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#1955

        Vishwaas Ke Vimaan Par

Lekar sach ka sahaara
Chadha yaatri vishwaas ke vimaan par
Baitha samarpan kee seat par
Preet kee peti baandh kar.

Bhakti kee bhasm thee jism par
Mastak par thaa shraddha ka shringar
Chehre par thi anokhi chamak
Naynon mein thaa nirmal noor.

Bholi si thi uskee bhavna
Kalyaan kee thi usey kaamna
Na darr raha thaa safar se
Balki dekh raha thaa usey kadar se.

Vairagya kee vaani mein
Gungunaa raha thaa gyan ka geet
Shukrana ka shankh bajaa kar kaha usne
Ki Mahadev aur Unkee mehar hee hain meet.

Bholenath kee dhun mein
Bhaav vibhor ho gaya uska mann
Khushboo aayee Unkee
Uskee veh khwaahish hui poori usee kshan.

Dikha usey saumya swaroop apne samaksh
Dhanya hua paakar darshan pratyaksh
Guruji de rahe thei Shiv roopi darshan
Kaamp utha veh, aisa oorjamayi thaa spandan.

Kshama maangte huey ashru bahe uss kshan
Dhul gaya uske dil ka darpan
Ruh ka ravi ho gaya roshan
Paa kar Shiv kee sukhad sharan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Vishwaas Ke Vimaan Par (06/27/2023)

Leave a comment