Sahaara (07/31/2023)

July 31, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1989

                          Sahaara

Na antas mein hai kshamta
Na mann mein hai samta
Guruji, Aapke naam ka hai sahaara
Jisne sainkdon kee matt ko hai sudhaara.

Na hai mujhe asal gyan
Na kar paaoon dhairya se dhyan
Guruji, Aapke simran ka hai sahaara
Jiske dwaara Aapne kitnon ko hai taara.

Aasakti ko na tyaag paaoon
Moh maya kee nidra se na jaag paaoon
Guruji, Aapke maargdarshan ka hai sahaara
Jiske liye anekon ne hai Aapko pukaara.

Na ho paaye mujhse sarvsamarpan
Bin hichkichaaye na dekh paaoon darpan
Guruji, Aapse rehmat aur kshamaa ka hai sahaara
Jinse dhul jaaye mere bheetar ka mal saara.

Shukrana karna aksar na rahe yaad
Shikaayat shikva mein ho jaaye waqt barbaad
Guruji, Aapki niswaarth mamta ka hai sahaara
Jis se Aapne meri akritagyata ko bhi hai sweekaara.

Haalaat se ho jaati hoon majboor
Lekin soch bhi na sakoon kabhi apne ko Aapse duur
Guruji, Aapki ruhaani maujoodagi ka hai sahaara
Jisne sada yaad dilaaya hai bheetar ka divya dwaara.

Aapki kripa bin koi bhi sahaara dikh na paaye
Aapki kripa se hee har sahaara mujhe sambhaal paaye
Guruji, Aapke kamal charnon ka hai sahaara
Kyunki Aapki sharan ke bin ek pal bhi nahin hai mera guzaara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sahaara (07/31/2023)

Gaaon Ka Har Ghar Parivaar (07/30/2023)

July 30, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1988

Gaaon Ka Har Ghar Parivaar

Sukh shanti thee gaaon ke ghar ghar mein
Sabhi kee bahut shraddha thee Bholenath Har mein
Waqt badalte badalte gaaon vaasiyon kee badhne lagi aasakti
Logon kee aapas mein aur bhautik padarthon mein bhi
Kuch samay baad toh sukh shanti pehle si na rahi.

Aasakti ke kaaran bhed bhaav badhne lagaa
Moh maya mein phanskar koi koi toh raat bhar jagne lagaa
Kaam krodh lobh ne bhi kitnon ke mann ka chayyn liya cheen
Ruhaaniyat mein in sab baadhaaon ke aane se manobal hua ksheen.

Madd aur ahankar badhne lagaa aasakti ke kaaran
Kumm honei lagaa β€˜Om Namaha Shivaya’ ka ucchaaran
Ashubhta aane lagi vaataavaran mein
Neerasta chhaayi paryavaran mein.

Ichchaaon ke badhne se zyada honei lagaa bhayy
Vishwaas aur atma-vishwaas kumm hua, badh gaya sanshay
Mitne lagaa sukh shanti ka naam-o-nishaan
Shukr hai ki kuch virlon ko yaad raha japna Bholenath na naam.

Ve chandd loag β€˜Om Namaha Shivaya’ ka japp karte rahe
Ve Guruji ke dikhaaye maarg par chalte rahe
Bheed kee doosri thi disha
Lekin unn chandd logon ko na daraa paayi nyoon paksh kee nisha
Unhe Guruji par thaa vishwaas poorna
Unka samarpan thaa sampoorna.

Ve karte rahe Shiv avatari Guruji se dua
Ki gaaon mein jis jis se bhi paap ya dosh ho hua
Guruji kar dein poore gaaon ko kshamaa
Aur bakhsh dein phir se sukhad shant samaa.

Ve Guruji kee mahima gungunaate rahe
Guruji unse sewa aur satsang karvaate rahe
Unhonei apni galatiyon ke liye bhi kiya praayashchit
Unkee atma par se daag Guru kripa se gaye mitt.

Gaaon mein Guruji ke naam ka amrit barasta raha
β€˜Om Namaha Shivaya’ goonjta raha har sadak har moad par
Guruji kee mehar se nisha se uday hui sundar sehar
Aasakti dukh vikaar ke bandhanon ko toad kar.

Uss sehar kee dhoop kee har kiran ne
Guruji ke aadesh par madad kee dukh ke haran mein
Sabhi ghar shubh huey uss dhoop se
Sabhi ko bakhshish milee Shivji ke Guru roop se.

Guruji ne bachaaya poora gaaon
Dekar Apne naam kee sheetal chaaon
Gaaon ke sabhi vaasiyon ne chhooye Guruji ke charan
Maangi sabne Guruji se sada ke liye Guruji kee sharan.

Gaaon mein ek baar phir hui santushti aur shanti
Gaaon kee oorja muskuraayi dekhkar Guruji ke naam kee kanti
Sabhi tarr gaye, mitt gaye sabhi ke mann ke vikaar
Bin bhed bhaav aur aasakti ke sukhi hua gaaon ka har ghar parivaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Gaaon Ka Har Ghar Parivaar (07/30/2023)

Vo Savera Ho Jaayega Sabhi Ka (07/29/2023)

July 29, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1987

      Vo Savera Ho Jaayega Sabhi Ka

Guruji ke darbar mein
Sab hain ek samaan
Phir kaun raja toh kaun rankk
Sabhi hain buss insaan.

Kisee kisee ko insaaniyat yaad rehti hai
Kisee kisee ko bhool jaati hai
Kisee ko insaaniyat sataati hai
Toh veh banta asur ka saathi hai.

Kisee kee ruhaaniyat mein insaaniyat samaati hai
Kisee kee ruhaaniyat mein insaaniyat bulaane par bhi nahin aati hai
Ruhaani praani toh hum sab hain hee, anubhav hai ye safar insaaniyat ka
Isliye dono kee ekta se hee laabh hai ibadat ka.

Guruji ke darbar mein bhed nahin sikh hindu isaai musalmaan mein
Guruji kee mehar se ruhaaniyat chamke insaaniyat ke sangg sabhi ke praan mein
Sab bande hain kudarat ke
Sab maare hain karmon se banee kismat ke.

Guruji Gurbani ke dwaara insaaniyat ka paath padhaayein
Guruji bhakton ke bheetar ruhaaniyat kee chamak par se dhool hataayein
Niswaarth sewa karne ka dein Ve protsaahan
Taaki sabhi banein khushi phailaane ka vaahan.

Guruji kee kripa se insaaniyat aur ruhaaniyat ka vilay rahe sabhi ke bheetar
Guruji kee dee sumat se sabhi sadupyog mein laayein atma-sudhaar ka avsar
Phir andhere ke peechhe chhipa hai jo suhaana savera
Vo savera ho jaayega sabhi ka, uska, tera, aur mera.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Vo Savera Ho Jaayega Sabhi Ka (07/29/2023)

Guru Govind Mein Sada Basenge Bhagwaan (07/28/2023)

July 28, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1986

Guru Govind Mein Sada Basenge Bhagwaan

Asha ho ya ho niraasha
Sab hai duniya ka tamaasha
Na bhoolo safar ke saar aur mool ko
Sweekaaro phool aur shool ko.

Kalyuga mein maya aur avidya ke raaj ke kaaran chhaaya hai andhkaar
Shukr manaao ki Guruji rahe Hain tumhaari zindagi ko sanvaar
Yaad rakho raaste aur manzil ke mahatva ko
Karmon ka hisaab chal raha hai isliye nibhaate chalo apne kartavya ko.

Aastha se sajaao apna raasta
Saboori dwaara badha lo adheerata se duuri
Neevenpann mein doobo lo apna mann
Dekhna, nikharne lagega jeevan.

Sahaanubhooti rakho har praani ke prati
Pyaar ke bhaav ka karo niswaarthata se shringar
Uss pyaar ko tum yoon barsaao baarambaar
Ki tumhaare yogdaan se behtar baney sansaar.

Prakriti ke niyam aur faisle ko koi rok sakta nahin
Aur divya nirnay toh sada hota hai sahi
Kintu agar har jann deta chale apna sakaaratmak yogdaan
Toh vinaash kaal mein bhi gumraah nahin hoga insaan.

Pralay ke pashchaat phir awashya hoga nirmaan
Guruji kal bhi thei, aaj bhi Hain, aur kal bhi hongei shaktimaan
Insaaniyat ka farz nibhaakar karo Guruji ke bakhshe har shwaas ka sammaan
Duniya badle, ya yug badalte rahein, Guru Govind mein sada basenge Bhagwaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guru Govind Mein Sada Basenge Bhagwaan (07/28/2023)

Sabse Vaddi Vadiyaayee (07/27/2023)

July 27, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1985

          Sabse Vaddi Vadiyaayee

Param poojya Guruvar,

Diya hai Aapne sabhi bhakton ko
Sarvsampann honei ka adhikaar
Lekin is uddeshya praapti ke raaste mein
Rukaavat bann jaate hain hamaare apne hee vikaar.

Aapka naam japte huey kartavya hai hamaara ki rakhein Aapka maan
Vo yaad rahe ya nahin, par yaad rehta hai karna abhimaan
Kaam, krodh, moh, laalach bhaari padte hain aksar
Saath mein bheetar vaas karne lagte hain madd aur matsar.

Hota hee nahin hai hamein iska ehsaas
Samajh baithte hain hum swayam ko khaas
Badhti jaati hai bhautik praapti aur aasakti kee pyaas
Aur santushti bann ke reh jaati hai ek aas.

Santushti nahin toh nahin hoti prassannata
Phir duuri badhaati hai hum se sarvsampannata
Phir antas mein uthte hain shanka bhare sawaal
Aur bechayyn ho jaata hai khud ka haal.

Sumat bakhshiye, Guruvar, ki hum dhyan dein swayam ke sudhaar par
Aur shukraguzar rehkar santusht rehna seekhein ruhaaniyat ke aadhaar par
Satark rahein ki apna karma karein lekin doojon ke karmon mein na jaayein ulajh
Aapka naam japte japte hamein asal gyan aaye samajh.

Apni galatiyon ka aarop doojon par na lagaayein
Aapki sharan mein rehkar vikaar rahit ho paayein
Hamaari soch chhoti, Aap aur Aapki soch kee hai sabse vaddi vadiyaayee
Jisne hum jaison kee naiya pehle bhi hai paar lagaayi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sabse Vaddi Vadiyaayee (07/27/2023)

Sansaar Aur Srishti Ke Paalanhaar (07/26/2023)

July 26, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1984

   Sansaar Aur Srishti Ke Paalanhaar

Param poojya Guruji,

Samay chal raha hai
Magar ruk si gayi hai zindagi
Saansein chal rahi hain
Kintu ho na paaye bandagi.

Aap aa rahe Hain yaad
Kintu na ho paa rahi hai fariyaad
Jaanti hoon ki hoon azaad
Kintu vaise khil nahin rahe jazbaat.

Ye avidya hai ya hai maya
Ya hai dono ka hee saaya
Jo mere bheetar aur baahar hai chhaaya
Jiske kaaran antas mein sangharsh hai samaaya.

Aapki oar se vilamb toh hai darasal sahi waqt ka intazaar
Jiske aane par Aap swayam hee karte Hain uss daat kee bauchaar
Jo Aapki daya se hamein milti hai
Chaahe hum uske laayak hon ya nahin.

Ye jaante huey bhi hoon udaas
Ye agyan nahin toh aur kya hai, Guruvar?
Gyan ke deep kee lau ko dekh paayein mere antas ke chakshu
Apni kripa kar deejiye mujhe aisa var.

Meri naadaani ke liye kar deejiyega mujhe
kshama
Haunsala bakhshte rahiyega taaki meri atma ko bin ghaayal kiye beet jaaye ye samaa
Jaanti hoon ki Aap har lenge har dukh santaap
Jaanti hoon ki poore Brahmand ke Shehehshah Hain Aap.

Anaari hoon, Aapke samaksh hoon bhikhaari
Duur kar deejiye tann mann atma kee har beemaari
Aapki mehar se nikhar jaaye sabka ghar parivaar aur ye sansaar
Aap mein hee Shiv, Aap mein hee Shakti, Aap Hain sansaar aur srishti ke paalanhaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sansaar Aur Srishti Ke Paalanhaar (07/26/2023)

Pareekshak Meharbaan (07/25/2023)

July 25, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1983

           Pareekshak Meharbaan

Ye tere bhaav ka imtehaan hai
Shaayad tujhe is baat ka gyan hai
Guruji ko bharpoor shraddha aur pyaar arpan kar
Chod kar har aashanka aur darr.

Ye pareeksha hai dharma kee
Ye parakh hai tere kiye har karma kee
Tu nibhaata chalna apna har kartavya
Guruji ye jaan lenge awashya.

Mehnat na chhootne de
Atma-vishwaas na tootne de
Aata hai zindagi mein kabhi kabhi aisa viraam
Jabb kaheen khoney lagta hai chayyn aur aaraam.

Guruji le rahein hain imtehaan anokha
Yakeenan nahin lagg raha hoga ye saukha
Prashnaavali ke bajaaye ismein hain paheliyan
Isliye nishtha aur saboori ko banaa tu apni saheliyan.

Guruji kee kripa se har paheli jaayegi sulajh
Tu bodh aur dhyan dwaara Guruji ka aadesh samajh
Ve rahein Hain tujhe taar
Tu kaayam rakh apna karaar.

Ye tathya hai bilkul sahi
Ki hai tu akela nahin
Guruji Hain tere angg sangg is imtehaan mein
Rakh vishwaas aur jhaankta chal apne gireban mein.

Apni khaamiyon par karta chal kaam
Leta chal tu Guruji ka naam subah shaam
Guruji aur Unka naam Hain atyant mahaan
Sarvottam hoga imtehaan ka parinaam
Sarvashreshth hoga teri mehnat ka anjaam
Guruji Hain pareekshak meharbaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pareekshak Meharbaan (07/25/2023)

Tarr Jaayega Tu Aur Tera Mann (07/24/2023)

July 24, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1982

Tarr Jaayega Tu Aur Tera Mann

Na shanka se, na sanshay se
Na jaanch kee bhavna na bhayy se
Na krodh se, na aazmaaish se,
Na virodh se, na bhautik khwaahish se
Chhoo le Guruji ke charan aye jann
Tarr jaayega tu aur tera mann.

Na dimaag se, na hisaab se
Na koi vaad vivaad se
Na roab se, na akad se
Balki bhaav vimamr se
Kar le Guruji ka chintan aye jann
Tarr jaayega tu aur tera mann.

Na baraabari se, na khoti khari se
Na tarjan se, na bhaav khandan se
Na mukaabale se, na hoad ΰ€Ήΰ₯‹ΰ€‘ΰ€Ό se
Balki shraddha se haath jod ke
Kar le Guruji ko naman aye jann
Tarr jaayega tu aur tera mann

Na bal se, na chhal se
Balki bhaav nishchhal se
Na shikva se, na shikaayat se
Balki imaan bhari ibadat se
Kar le Guruji ka vandan aye jann
Tarr jaayega tu aur tera mann.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tarr Jaayega Tu Aur Tera Mann (07/24/2023)

Guruji Kee Divya Leela (07/23/2023)

July 23, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1981

           Guruji Kee Divya Leela

Guruji kee divya leela ka kya kehna
Har bhakt chaahe Unkee chhatr-chhaaya mein rehna
Guruji ke paraakram mein hai aisa prataapi dumm
Ki shukrana pratiroop samast shabd padd jaayein kumm.

Taakat Guruji ke tapp kee
Oorja Unke bakhshe japp kee
Karti hai bhakton ka uddhaar
Dekar unke antas ko sanvaar.

Shakti Guruji ke diye simran kee
Chetna jo saugat hai Unke chintan kee
Deti hai bhakton ko taar
Saaf kar unka mann aur mann ka dwaar.

Mamta Guruji ke aanchal kee
Komalta Unke dil kee
Laati hai bhakton par nikhaar
Dekar unko pyaar dulaar.

Pitritva ka bhaav Guruji ka
Sneh ka bahaav Guruji ka
Deta hai bhakton ko jeene ka sanskaar
Sikhaakar unhe ki kya hai shuddh aachaar.

Mahima Guruji kee vadiyaayee kee
Roshni Guruji kee guruyaayee kee
Deti hai bhakton ko noorani sakaash
Bhar ke unke jeevan mein gyan ka prakash.

Guruji kee leela mein basaa anugraha jabb bhakton ko hai milta
Toh lok aur parlok ke sanvarne se unka bhaagya hai khilta
Guruji kee leela hai hee aisee anokhi aur niraali
Ki Unke sabhi bhakt hain atyant bhaagyashaali.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Kee Divya Leela (07/23/2023)

Kar Li Galatiyan (07/22/2023)

July 22, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1980

                    Kar Li Galatiyan

Kar li galatiyan, abb kya?
Kya tayyaar hain hum praayashchitt karne ke liye?
Kya jaley hain hamaare mann mein pashchaataap ke deeye?
Kya humne apne vichaar abb nirmal hain kiye?

Agar hamaari neeyat ho gayi hai nek
Toh maafi maangte huey maatha lein tek
Kewal tann se nahin, balki antarmann se
Aur maang lein bakhshish Guru Bhagwan se.

Bakhshish maangein simran ke dauran
Bakhshish maangein subah aur shaam
Swayam ke aantarik sudhaar par karein kaam
Karein apne Guruji ka sammaan.

Guruji Shiv Puran padhne sunn-ne ke liye kahein
Kyun na hum Unke kehne mein rahein?
Shiv Puran mein bhi toh hai likha
Agar humne padhi hai toh hamein bhi hoga dikha
Ki β€˜pashchataap hee paap karne wale paapiyon ke liye sabse bada praayashchit hai’
Isliye isey yaad rakh kar iska anusaran karne mein yakeenan hamaara bhi hitt hai.

Guruji ne thaama hai hamaara haath
Phir sanshay kee nahin hai koi baat
Unkee bakhshish se hum jaayenge tarr
Pashchaataap aur praayashchit se sudhar jaayega hamaara ye safar.

Guruji bakhshanhaar Hain
Guruji taaranhaar Hain
Shaayad Unkee bakhshish se bada nahin hai koi bhi kalyaan
Yoon hee toh nahin Ve Hain Guru ke roop mein swayam hee Bhagwaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kar Li Galatiyan (07/22/2023)