Mann Kabhi Na Bhooley (07/14/2023)

July 14, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#1972

          Mann Kabhi Na Bhooley

Guruji kahein banda bann
Ye jaane kintu ye maane na ye mann
Lekin mann jabb takk hai manda
Tabb takk kaise baney koi banda?

Guruji, kripa kar Aap karein aisee rehmat
Ki mann mein aaye aisee sumat
Ki veh chod de vyarth kee hath
Aur tyaag de har anisht aadat.

Mann kartavya nibhaane ka dharma rakhey yaad
Chod de aalasya aur pramaad
Seekhey das bankar rehna
Seekhey kasht ko sehna.

Na bhatke, na dagamagaaye
Na galat raaste par jaaye
Shant rehna seekh jaaye
Aapki rehmat se sthirta paaye.

Tyaag de mann apna har vikaar
Basaa le swayam mein sabke prati pyaar
Karey Aapse bhakti ka vinamr izhaar
Toh yakeenan aayegi mann mein ruhaaniyat kee bahaar.

Aapki kripa se miltee rahe bakhshish simran kee
Taaki jaari rahe pavitrikaran kee vidhi mann kee
Sanvarti jaaye dasha aur disha jeevan kee
Badhauti ho antas mein adhyaatmik dhan kee.

Shuddhi se sajte rahein mann ke vichaar
Na karein ve apni ya doojon kee atma par vaar
Mann thaame ekaagrata kee patvaar
Mann se Aapke liye dhanyawaad nikle baar baar.

Safal ho jaaye mann ke uddhaar kee tarkeeb
Mann hota jaaye banda bann-ne ke uddeshya ke kareeb
Nikhar jaaye mann aur atma ka naseeb
Mann na rahe charitra ke dhan mein gareeb.

Mann baney apna aur doojon ka madadgaar
Mann karta rahe bakhshish ke liye Aapse pukaar
Mann mein sada basaa rahe Aapke mandir ka noorani darbar
Mann kabhi bhi na bhooley karna Aapki har kripa ka ikraar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mann Kabhi Na Bhooley (07/14/2023)

Leave a comment