Charam Seema Ka Gantavya (07/17/2023)

July 17, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#1975

Charam Seema Ka Gantavya

Ye safar hai is janam ka
Koi mukaam khushi ka toh koi gumm ka
Kaheen kissa zindagi ka toh kaheen maran ka
Kaheen bhayy vann ka toh kaheen saundarya chaman ka.

Ye safar hai hamaare karam ka
Pichhle janam aur is janam ka
Pichhle janmon ke karmon ka bhugtaan
Aur is janam ke karam kriyamaan.

Praarabdh karam ke phal se bachna hai namumkin
Baaki sanchit karma beshak bhugatne hongei kisee aur din
Ye toh Guruji kee sharan mein hain toh aasaan hua hai safar
Kyunki Ve swayam par le lete Hain hamaare karam adhiktar.

Ye safar hai hamaare dharam ka bhi
Hindu muslim sikh isaai wala nahin
Balki hamaare kartavya nibhaane kee nipunta ka
Aur hamaari neki aur neeyat ke gunn ka.

Kaisa parinaam laata hai hamaara prayaas
Uss se zyada mahatva rakhti hai hamaari shraddha aur neeyat
Kaise abhinay karte hain hum duniya waalon ke samaksh
Uss se zyada mahatva rakhti hai hamaari asal shakhsiyat.

Aur sabse mukhya baat toh ye hai
Ki Guruji jaante Hain saari sachchaayee
Hamaare safar ke har pehlu ka
Kalyaan karti hai Unkee vadiyaayee.

Guruji kee mehar se safal ho sabhi ka safar
Janam, karam, aur dharam- har pehlu par ho Unke ashish ka asar
Guruji kee sharan toh hai charam seema ka gantavya
Kisee aur sahaare ka nahin hai is se adhik mahatva.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Charam Seema Ka Gantavya (07/17/2023)

Leave a comment