July 20, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#1978
Raahi Ka Jeevan
Karoon kya
Jaaoon kahaan
Niraasha dikhti hai
Jaaoon jahaan
Baahar maya
Bheetar avidya
Andhera yahaan
Andhera vahaan.
Khud ko aisa baar baar kaha
Jaise jaise raahi thaa chal raha
Yakeenan usne kaafi kuch thaa saha
Dheeraj toota, toh yoon bhaav baha.
Beet chuke thei saal kayi
Ummeed nahin dikh rahi thi nayi
Maatha tek kar dar dar
Thakk gaya thaa maano uska sir.
Chalte chalte lagi usey pyaas
Ek chhoti si jheel thi paas
Vahaan paani peene ke liye baitha aur jhuka
Paani mein apne peechhe kisee ka pratibimb dekh kar ruka.
Uske peechhe ek sadhu khade thei
Dikhne mein raahi se bade thei
Sundar si muskaan aur maathe par tej sunehra
Maano jaise pehna ho ruhaaniyat ka noorani sehra.
Sadhu ne apne kamandalu se raahi ko amrit pilaaya
Raahi ko amrit peekar ek anokha anand aaya
Sadhu ne kaha, hoga sab achcha
Mera aisa kehna hai sachcha.
Raahi ne dekhi sadhu kee aankhon kee gehraayee
Usey sadhu kee baat mein lagi sachchaayee
Raahi ne sadhu ko kiya pranaam
Aur sir jhuka kar poocha unka naam.
Sadhu ne kaha, βMujhe Guruji kehte hain sab.β
βMai hoon apni sangat ke liye Rabb.β
Aisa sunn kar raahi ne sir uthaaya
Aur uss pal veh aashcharya se ghabraaya
Kyunki sadhu thaa hee nahin vahaan
Ek kshan pehle veh khada thaa jahaan.
Raahi ko lagaa ki usne sapna dekha
Lekin phir usne mitti mein dekhi amrit kee rekha
Usey ho gaya poora vishwaas
Ki Guruji aaye thei uske paas.
Uska roam roam harshaaya
Usne shukrana ka geet gaaya
Jaan gaya ki veh amrit thaa Guruji ka diya prasad
Maan gaya ki Guruji ne diya usey ashirwaad.
Uske bheetar jali ek ujjwal jyoti
Usey har pareshaani lagne lagi chhoti
Guruji ke ashirwaad se veh gaya tarr
Chod diya usne bhatakna dar dar.
Guruji kee kripa se usey mila achchi sangat ka saath
Abb toh veh Guruji mein magn rehne lagaa din raat
Apna kaam kaaj aur farz nibhaata chala raat din
Kuch bhi na karta thaa Guruji ka naam liye bin.
Raahi ka jeevan hua suhaana
Mila usey Guruji ne naam ka khazaana
Guruji ke darshan se mila usey aajeevan sukh
Agyan anjaan raahi se veh bann gaya Gurumukh.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Raahi Ka Jeevan (07/20/2023)