July 26, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#1984
Sansaar Aur Srishti Ke Paalanhaar
Param poojya Guruji,
Samay chal raha hai
Magar ruk si gayi hai zindagi
Saansein chal rahi hain
Kintu ho na paaye bandagi.
Aap aa rahe Hain yaad
Kintu na ho paa rahi hai fariyaad
Jaanti hoon ki hoon azaad
Kintu vaise khil nahin rahe jazbaat.
Ye avidya hai ya hai maya
Ya hai dono ka hee saaya
Jo mere bheetar aur baahar hai chhaaya
Jiske kaaran antas mein sangharsh hai samaaya.
Aapki oar se vilamb toh hai darasal sahi waqt ka intazaar
Jiske aane par Aap swayam hee karte Hain uss daat kee bauchaar
Jo Aapki daya se hamein milti hai
Chaahe hum uske laayak hon ya nahin.
Ye jaante huey bhi hoon udaas
Ye agyan nahin toh aur kya hai, Guruvar?
Gyan ke deep kee lau ko dekh paayein mere antas ke chakshu
Apni kripa kar deejiye mujhe aisa var.
Meri naadaani ke liye kar deejiyega mujhe
kshama
Haunsala bakhshte rahiyega taaki meri atma ko bin ghaayal kiye beet jaaye ye samaa
Jaanti hoon ki Aap har lenge har dukh santaap
Jaanti hoon ki poore Brahmand ke Shehehshah Hain Aap.
Anaari hoon, Aapke samaksh hoon bhikhaari
Duur kar deejiye tann mann atma kee har beemaari
Aapki mehar se nikhar jaaye sabka ghar parivaar aur ye sansaar
Aap mein hee Shiv, Aap mein hee Shakti, Aap Hain sansaar aur srishti ke paalanhaar.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Sansaar Aur Srishti Ke Paalanhaar (07/26/2023)