Kripa Keejiye,Parwardigaar (08/05/2023)

August 5, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1994

Kripa Keejiye,Parwardigaar

Baahar bhi shor
Bheetar bhi shor
Shor hee shor har oar
Aisa kyun ho jaata hai
Jabb Guruji ne thaami ho dor?

Kaheen moh maya ne jakda hai
Kaheen bhautik aakarshanon ne pakda hai
Aise mein kaise hoga antas ka manthan
Kaise praapt hoga gehraayee mein chhipa alaukik dhan?

Aawashyak hai sthiti shant
Aawashyak hai ekant
Tabhi toh jaagenge sidhant
Aur samjhenge veh gyan hum jo dein vedant.

Koi vikarshan na ho chaahe hon duniya ke beech
Aur mann rahe bilkul shant
Unn Guruvar roopi ek jyot ke anant mein samaana
Vahee toh hai ekaant.

Vishwaas badhaana zaroori hai
Abhyaas badhaana zaroori hai
Simran, manan, aur chintan ka
Ekaagrata aur dhyan bhare vandan ka.

Guruji, bakhsh deejiye jo maarg par chalte chalte dagmaga jaayein
Guruji, bakhshiye aisee sumat ki duniyavi maajare sataa na paayein
Guruji, Aapki karuna se nikharta rahe bhakti bhaav aur vandan
Aapki mehar se ho paaye antas ka aisa manthan
Ki pahunch kar bheetar kee gehraayee mein
Samaa jaayein Aapki guruyaayee mein
Ho jaaye atma-saakshaatkaar
Kripa keejiye, Parwardigaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kripa Keejiye,Parwardigaar (08/05/2023)

Leave a comment