August 16, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2005
Aapki Praapti Ka Vardaan
Jeevatma se Paramatama bann-ne ka safar
Chalega na jaane kitne janam
Kripa keejiyega Guruji
Ki har uss janam mein miley mujhe Aapki sharan.
Baddh hai sansaar se
Abhi toh meri atma
Har paash se mukt hokar hee
Banegi yeh Paramatama.
Apni karuna yoon barsaayiye
Ki mit jaaye bheetar ka andhkaar
Roshni mein dekh paaoon apni har khaami, har dosh ko
Aapke chintan se paaoon shanti aur santosh ko.
Mere bheetar hai jo bhi daanav roopi swabhaav
Ve Aapki daya se ho jaaye duur
Vishay ka har veh nasha jo mujhe karta hai kamzor
Veh Aapke anugraha se ho jaaye chuur chuur.
Mann par rakh paaoon niyantran
Atma-neereekshan karoon har kshan
Na bhooloon kabhi bhi ki nashwar hai ye tann
Prem satkaar bhaav se japoon Aapka naam roopi dhan.
Deejiye aisa yog daan
Ki bheetar uday ho poorna gyan
Uss gyan ke bal par
Kar paaoon har adhyaatmik chunauti ka saamna
Aap mein samaane ke alaawa
Na rahe koi bhi aur kaamna
Apne dikhaaye raaste par aisee sthirta keejiye pradaan
Ki antt mein Aapki meher se miley Aapki praapti ka vardaan.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Aapki Praapti Ka Vardaan (08/16/2023)