Saat Rangon Ka Chola (08/17/2023)

August 17, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2006

               Saat Rangon Ka Chola

Pyaare Guruvar,

Hokar Aap mein nimagn
Gungunaati hui Aapki dhun
Mastt hua mera mann
Dekh kar mann ka upvan.

Aap thei vahaan virajmaan
Jaise har pal hotey Hain vahaan
Aapki muskuraahat mandd mandd
Aapka noor divya akhand.

Goonj rahi thi Gurbani kee meethi awaaz
Ho raha thaa ruhaani khushboo ka ehsaas
Mann mein jyot jal rahi thi Aapke vandan kee
Upvan mein phaili thi oorja Aapke spandan kee.

Pehna thaa Aapne saat rangon ka chola
Aapke kehne par har rangg baari baari mujhse bola
Mai reh gayi bhaav vibhor aur dangg
Sunkar kya kehta chala har rangg.

Pehle ne kaha ‘sewa’ hai vo
Aur ‘simran’ hoon mai, kehna lagaa rangg dooja
Teesre na kaha veh prateek hai ‘satsang’ ka
Mujhe toh anmol lagaa prateekvaad har rangg ka.

Chautha rangg sehejta se bola ki vo hai ‘saboori’
Paanchve ne kaha ki yaad rakhoon har pal ‘shukrana’ hai zaroori
Chhatha bola ki har kartavya ko ek ‘sadhna’ samjhoon
Saatvein ne kaha ki Guruji ko ‘sarvsamarpan’ karoon.

Phir sab rangon ka ek sundar sa mishra
Safed rangg bannkar gaya umad usee kshan
‘Shuddhi’ hoon mai, usne kaha tabb
Aapne haami bhari tabb.

Aapne bakhshe ve rangg saat
Thee veh kitnee bahumoolya daat
Kuch rangg gehre, kuch pheeke hain abhi
Koshish hai meri ki gehraayee mein ucchatam ho jaayein sabhi.

Tabhi toh pahunch paaoongi safed rangg takk
Chod kar har shikva, shikaayat ya shak
Guruji, Aap aisa sudhaar laayiyega mere jeene ke dhangg mein
Ki mai rangg jaaoon poori tareh se Aapke rangg mein
Aap Apne ashish se sanvaar rahein Hain mera jeevan
Mann se karoon mai Aapko shukrana bhara naman.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Saat Rangon Ka Chola (08/17/2023)

Leave a comment