Suprabhat (08/23/2023)

August 23, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2012

                        Suprabhat

Duur kaheen parvat ke peechhe
Maano aasmaan ke neeche
Sooraj dhal gaya
Samay badal gaya.

Akash ka rangg hua gerua
Aayi thi saanjh kee bela
Raahi chalta raha akela
Peechhe chod kar duniya ka mela.

Tann se nahin, balki mann se
Kyunki usne seekha jeevan se
Ki asal safar toh hai bheetar ka
Aur asal manzil ka raasta vaheen se hai.

Gyan kee baatein sunta rehta thaa
Bahut pyaar se Guruji kee mahima gaata aur kehta thaa
Phir bhi uska vikaas ruka rehta thaa
Kyunki mann mein aasakti ka jharna jo behta thaa.

Uss shaam jabb baitha veh simran mein
Apni mrityu ka drishya dikha usey mann mein
Aur yakayak uske kayi pichhle janmon ka chalchitra chal pada
Veh achambhe ke saath uth kar ho gaya khada.

Har janam ke baad thaa maran
Kewal uska nahin, sabhi ka hee
Aisa nahin ki veh thaa is niyam se anjaan
Lekin usey samajh aane lagaa aasakti ka nuksaan.

Mal, maya, aur vikaar hee hain paash
Sochne lagaa, inse chhoot jaaoon kaash
Bheetar aayi Guruji kee awaaz
Unka sanket thaa ki anaasakti hai paash se chhootne ka raaz.

Guruji kee vaani se hua satark
Sawaal nahin uthta thaa ki ho koi tark
Usne nishchay kiya ki veh karega apni oar se prayatn
Har rishte ko farz samajh kar nibhaane ka karega yatna.

Jis shaam ko mila usey Guruji se ye seedha paigaam
Usey lagaa ki ye hai abb uska imtehaan
Guruji ne sunn lee uskee ardaas
Aur badha diya uske simran, dhyan, aur sadhna ka abhyaas.

Dhulta rahi mal uske antakaran ka
Aasakti par honei lagaa niyantran
Ye nahin thaa aasaan
Aakhir thaa veh insaan.

Lekin usey thaa poora yakeen
Ki agar uska manobal kabhi hua ksheen
Toh Guruji uskee madad karenge zaroor
Kyunki Ve bheetar Hain, nahin hai uss se duur.

Usne sabse ummeed rakhni di chod
Usne vyarth ke jhamelon se muh liya moad
Dil tootne se bachaa anginat baar
Bayaan karta raha Guruji ko veh apna aabhaar.

Saanjh se hua savera
Sirf aasmaan mein nahin, balki uske mann mein
Aur jo mann mein hua savera
Toh veh suprabhat laaya uske jeevan mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Suprabhat (08/23/2023)

Leave a comment