Bandagi Ka Bandhan (08/30/2023)

August 30, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2019

           Bandagi Ka Bandhan

Guruji ke sangg juda jabb se
Bandagi ka bandhan
Dil aabaad hua yoon tabb se
Maano utsaah se bhara upvan.

Na zaroorat kisee dhaage ya kisee doar kee
Na akeli lagi yaatra kisee sadak ya moad kee
Andhvishwaas aur vehem kee baadha mainey toad dee
Jabb se Guruji se preet mainey joad lee.

Yeh bandhan mere liye hai sarvashreshth vardaan
Is bandhan mein bandh kar milta rahega mujhe ek nayi azaadi ka daan
Guruji kar rahe Hain aur karte rahenge kalyaan
Unhonei is pavitra bandhan mein baandha hai, Ve Hain bahut meharbaan.

Ye bandhan hai raksha ka
Ye bandhan hai deeksha ka
Ye bandhan hai shiksha ka
Ye bandhan hai pareeksha ka.

Is bandhan kee shuddhi ko mera naman
Is bandhan kee nirmalta ko mera pranaam
Yeh bandhan hai sabse paawan aur pyaara
Yeh bandhan hai mera ekmaatra sahaara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Bandagi Ka Bandhan (08/30/2023)

Leave a comment