August 21, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2010
Naag Panchami Ka Tyohaar
Aaj hai Naag Panchami ka tyohaar paawan
Is sundar tithi ke kaaran aur bhi shubh maana jaata hai saawan
Aaj bhi sunte aur sunaate hain is tyohaar kee kathaayein bhakt jann
Aur ek adbhut utsaah mein magn ho jaata hai sabka mann.
Ek seth kee thee vadhuein saat
Sabse chhoti thi bahut sushil aur nek
Peeli mitti khodne chalin ek din saaton bahuyein
Aur yakayak mitti mein nikla sarp ek.
Jyeshth bahu ne sarp ko chaaha maarna
Kintu chhoti ne chaaha kaam sanvaarna
Uske kehne par badi ne saamp ko diya jaane
Chhoti ne saamp se kiya laut kar aane ka vaada lekin na lauti vaada nibhaane.
Yaad aane par sabhi ko veh le gayi vahaan
Sarp reh raha thaa jahaan
Is se pehle ki sarp ko krodh aata
Chhoti bahu ne usey keh diya apna bhraata.
Usee din se sarp ne sada nibhaaya bhai ka dharam
Aisa bhai paakar dhanya hua chhoti bahu ka janam
Tabb se chali aa rahi hai Naag Panchami ke parv kee pratha
Bahut pyaar, satkaar, kartavya prerna se poorna hai ye katha.
Raja Pareekshit kee mrityu ka kaaran banaa Takshak naag
Unke putr Janmajay ne yagya aayojit kiya karne naag vansh ka vinaash
Aastik muni ne naag raksha hetu
Sabhi sarpon par arpit kee doodh kee dhaara
Sabhi sarpon ne prasann hokar
Diya vardaan pyaara
Ki is tithi par jo bhi naag par doodh chadhaayega
Usey naag ka bhay kabhi nahin sataayega.
Bhakt karein aaj ke din
Naag devta aur Shivji kee pooja aur arti
Ghar mandir shivalay sajaaye jaate hain
Bhakt jann bhaav se vandan ke liye aate hain
Maanyata hai ki Rudrabhishek se shubh phal hai milta zaroor
Kaal sarp dosh aur Rahu Ketu dosh bhi hotey hain duur.
Naag par yaugik sanskriti mein diya gaya hai khaas dhyan
Naag ke prateekvaad se milta hai prachurta aur gatisheelta ka gyan
Paanchon gyanendriyon se paar
Naag dev se seekhein hum hona tayyaar
Taaki kabhi toh jaan paayein ruhaaniyat kee gehraayee
Prayaas hamaara farz hai, prayaas bakhshegi Guruji kee vadiyaayee.
Guruji pyaare Shiv avatari
Apni sangat se karte Hain aseem pyaar
Unkee sangat Unhee ke sangg
Chaav se manaati hai har tyohaar
Guruji karte Hain Apne bhakton ke har dosh aur kasht ko duur
Ve toh karunanidhaan Hain, ye toh hum hain jo hain apne karmon se majboor.
Lekin Unkee karuna hai aparampaar
Hum yogya bhi nahin jiske, Ve kar dete Hain aisa uddhaar
Unkee marzi ho toh lekha bhi likh dete Hain dobaara
Unkee mehar ka mohtaaj toh hai Unka parivaar saara.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Naag Panchami Ka Tyohaar (08/21/2023)