Aapka Salona Aanchal (08/11/2023)

August 11, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2000

           Aapka Salona Aanchal

Priya Guruvar,

Aapka salona aanchal
Mujhe sambhaalta hai har pal
Is aanchal kee chhaaon mein mere kasht jaate hain tal
Koi aur sthaan nahin hai is aanchal ke jaisa nirmal.

Aisa ho raha hai asar Aapki mehar ka
Ki andheri raat mein bhi ehsaas hota hai sundar sehar ka
Anantam shukrana uss lamhe, uss ghadi, uss pehar ka
Jismein mere mann mein janam hua Guru bhakti kee leher ka.

Mai tarne lagi jabb se mere antas par Shobha chhaayi Aapke prem ke dhaage kee
Vishwaas hai mujhe ki Aap yahaan takk laayein Hain
Toh Aap hee le jaayenge mujhe aagey bhi.

Duniya ne bahut koshish kee ulajhaane kee
Lekin Aapki kripa rahi hai sada sulajhaane kee
Duniyadari ke tamaashe mein manzoor hai poori haar
Kyunki Aapne diya hai Apne naam simran ka haar
Aapke ashish se yeh haar kar raha hai mujhe tayyaar
Ki aaj nahin toh kal mai ho jaaoon bhavsaagar ke paar.

Dete rahiyega himmat, satya kee raah par chalne kee
Dete rahiyega gyan, ruhaani seedhi par chadhne kee
Dete rahiyega shuddhi, akhandata kee oar badhne kee
Dete rahiyega bakhshish, Apne salone aanchal mein palne kee.

Aapki mamta hai sachchi, Aapki kripa pakki
Bahut baareek peesti hai Aapke nyaay kee chakki
Tasalli hai ki Aapki daya se hoga meri atma ka uddhaar
Aapka salona aanchal hai ekmaatra sahaara, mere poojya Parwardigaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapka Salona Aanchal (08/11/2023)

Aapji Sada Sahaay (08/10/2023)

August 10, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1999

               Aapji Sada Sahaay

Param poojya Guruji,

Aap toh jaante Hain sabb
Aur ye bhi ki veh sabb kyun hai ho raha
Ye bhi maalum hai Aapko
Ki Aapki kripa bin ye nahin jaa sakta saha.

Aap hee jaanein kya hai upaay
Pyaare Guruji, Aapji sada sahaay
Abb upaay deejiye bataaye
Kyunki abb aur saha na jaaye.

Nahin bataana toh bhi hai manzoor
Bin bataaye hee mushkil kar deejiye duur
Tann, mann, aur atma ke ghaav deejiye bhar
Aapki mehar se jaayein hum tarr.

Na hai Aapke alaawa aur koi sahaara
Aapki daya bin bilkul nahin hai guzaara
Pyaare Guruji, Aapji sada sahaay
Abb deejiye rehmat barsaaye.

Mohtaaj hain hum Aapki nadar ke
Musaafir hain is safar mein
Raasta Aapse, manzil bhi Aap
Abb buss har leejiye dukh santaap
Aap hee Hain Har, Aap mein Shivaay
Pyaare Guruji, Aapji sada sahaay.

Naadaan hain hum, hain anjaan
Baahon ko jakde huey hai agyan
Sewa simran ka na jaanein dhangg
Nahin raas aate is kalyug ke ajab rangg
Gyan ka deep dikh raha nahin
Aap drishti shakti kar deejiye sahi
Aapka bhakt aur kaheen kyun jaaye
Pyaare Guruji, Aapji sada sahaay.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapji Sada Sahaay (08/10/2023)

Tere Haalaat (08/09/2023)

August 9, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1998

         Tere Haalaat

Tu buss Guruji ka shukr kar
Tere haalaat kee Unhe hai khabar
Unhe fakr hai tere sabr par
Ye waqt bhi jaayega guzar.

Hota nahin ek sa har pal
Ek pal mein jeevan sakta hai badal
Tere haalaat sudharenge aaj ya kal
Tu rakhta chal vishwaas atal.

Guruji ke liye kuch namumkin nahin
Unka nirnay sada hota hai sahi
Is tathya mein koi shak nahin
Unke shraddhalu bhakt jann kehte hain yahee.

Jaldi samajh aaye ya der se
Ya na bhi aaye samajh
Tu apna farz nibhaata jaa
Tark vitark mein na ulajh.

Jin Shivroopi Guruji par toone sab kuch chod diya hai
Jin pooran Guru ne sada tera bhalaa kiya hai
Unkee oar se bevajeh nahin ho sakta yeh vilamb
Tu dekhna, is vilamb ke pashchaat hoga shubh praarambh.

Niraash na ho
Santulan na kho
Bebasi mein na ro
Maayoosi mein na kho.

Tu Guruji se na bhi kar paaye baat
Toh bhi Ve jaante Hain teri haalat
Guruji ke hotey huey tujhe na chahiye kisee kee bhi vakaalat
Badi dayavaan hai Guruji kee adalat.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tere Haalaat (08/09/2023)

Murshid Aur Khuda (08/08/2023)

August 8, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1997

                Murshid Aur Khuda

Param poojya Guruvar,

Hamaara bhakti bhaav badhaayiye
Hamein intazaar karna sikhaayiye
Hamaari galatiyan hamein dikhaayiye
Unhe sanshodhit karne ka upaay bataayiye.

Hamein sudhaar kee oar le jaayiye
Hamein aur girne se bachaayiye
Hamaari atma par se daag mitaayiye
Hamein oordhvagati kee oar chalaayiye.

Aapke ashish se
Bheetar ke mal ka ho jaaye naash
Aapki bakhshish se
Toot jaaye har tareh ka paash.

Bin gyan toh reh jaayenge hum anjaan
Paramanand ke anubhav se
Antt aane par maafi bhi na maang paayenge
Apne bhog saadhan shareerik shav se.

Kyunki veh toh panch bhoot mein samaakar Mrityu pashchaat ho jaayega poora
Lekin jis kaarya ke liye hum aaye hain yahaan par
Veh kaarya reh jaayega adhoora.

Kaarya, atma ke Paramatama se milan ka
Jis se antt hoga janam maran ka
Uss pal Aap mein jaayenge samaa
Tabb takk dete rahiye Apne charnon mein panah.

Abb bhi aur tabb bhi
Aapse na hon kabhi bhi juda
Aap hee Hain hamaare nath, meet, aur bandhu
Aap hee Hain hamaare murshid aur Khuda.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Murshid Aur Khuda (08/08/2023)

Aapki Rahnumaayee Mein (08/07/2023)

August 7, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1996

       Aapki Rahnumaayee Mein

Param poojya Guruji,

Jaise jaise sooraj jaaye dhal
Geruan aasmaan bann jaaye Aapka aanchal
Usmein jhoolne lagoon jis pal
Har thakaan ko miley aaraam roopi hal.

Jaise jaise raat aaye
Aapke swapn darshan kee ichcha badh jaaye
Jo jabb agar kabhi hon toh shukrana karoon Aapki mehar ka
Anokha saumya nazaara ho uske baad kee sehar ka.

Sooraj kee pehli kiran se bhi pehle
Jabb chidiya chehekti hai
Mauka jo mil jaaye is anubhav ka
Toh mere mann kee bagiya aksar mehekti hai
Aapki ruhaani khushboo ke ehsaas se
Kehti hui shukriya Aapke bakhshe huey mere shwaas se.

Sooraj phailaata hai akash aur dharti par apna prakash
Usey bhi maano oorja deta hai Aapka noorani sakash
Koi din na guzare Aapke simran aur chintan bin
Chaahoon bhi toh Aapki rehmatein na sakoon gin.

Har jageh har pal paaoon Aapko angg sangg
Aapki maujoodagi mein aasmaan badle apna rangg
Dopeher ka sooraj ho aakaash mein uchch shikhar par viraajmaan
Aur uske pashchaat shuru karey utarnaa dhalaan
Aapki kripa se japp paaoon Aapka naam
Aur phir aa jaaye shaam aane ka paigaam.

Har alfaaz jo boloon vo ho Aapki vadiyaayee mein
Doobti jaaoon Aapki bhakti ke mahasaagar kee gehraayee mein
Kalyaan hee kalyaan basaa hai Aapki guruyaayee mein
Jeevan ka har lamha beete Aapki rahnumaayee mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapki Rahnumaayee Mein (08/07/2023)

Aane Wala Kal Toh Aayega (08/06/2023)

August 6, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1995

        Aane Wala Kal Toh Aayega

Aane wala kal toh aayega
Rok sakey na koi
Guru miley toh saubhagya hai
Guru bin gati na hoi.

Guruji Shiv avatari Hain
Unkee sharan mein miley jo gyan
Uss se nishchay hee Parmeshwar baney
Har anugrahit insaan.

Besharte bhakti ho sachchi
Besharte neeyat ho achchi
Besharte uddhaar kee ho nek kaamna
Besharte jeevit rahe jigyaasa kee bhavna.

Guruji ke satsang mein miley disha
Sahi raah par jaane kee
Unke bakhshe simran se mitey nisha
Sambhaavna badhey gyan kee subah ke aane kee.

Mil jaaye jo aisee disha
Duur ho jaaye jo agyani nisha
Toh badhta jaaye bhakti ka nasha
Aur sanvarti jaaye antas kee dasha.

Bheetar kee dasha sanvaarni hai zaroori
Agar mitaani hai Paramatama se janam janam kee duuri
Ye praapti awashya hogi Guruji kee sharan mein
Deen bhaav se arzi lagaa Unke charan mein.

Saraahate huey apne saubhagya ko
Jagaaye rakh apne bheetar ke daasya ko
Teri daasya bhakti se Guruji hongei prasann
Unkee kripa se tu hota jaayega param gyan se sampann.

Disha yahee
Hai sahi
Tere agyan kee nisha jaayegi tal
Nikhar jaayega tera aane wala kal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aane Wala Kal Toh Aayega (08/06/2023)

Kripa Keejiye,Parwardigaar (08/05/2023)

August 5, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1994

Kripa Keejiye,Parwardigaar

Baahar bhi shor
Bheetar bhi shor
Shor hee shor har oar
Aisa kyun ho jaata hai
Jabb Guruji ne thaami ho dor?

Kaheen moh maya ne jakda hai
Kaheen bhautik aakarshanon ne pakda hai
Aise mein kaise hoga antas ka manthan
Kaise praapt hoga gehraayee mein chhipa alaukik dhan?

Aawashyak hai sthiti shant
Aawashyak hai ekant
Tabhi toh jaagenge sidhant
Aur samjhenge veh gyan hum jo dein vedant.

Koi vikarshan na ho chaahe hon duniya ke beech
Aur mann rahe bilkul shant
Unn Guruvar roopi ek jyot ke anant mein samaana
Vahee toh hai ekaant.

Vishwaas badhaana zaroori hai
Abhyaas badhaana zaroori hai
Simran, manan, aur chintan ka
Ekaagrata aur dhyan bhare vandan ka.

Guruji, bakhsh deejiye jo maarg par chalte chalte dagmaga jaayein
Guruji, bakhshiye aisee sumat ki duniyavi maajare sataa na paayein
Guruji, Aapki karuna se nikharta rahe bhakti bhaav aur vandan
Aapki mehar se ho paaye antas ka aisa manthan
Ki pahunch kar bheetar kee gehraayee mein
Samaa jaayein Aapki guruyaayee mein
Ho jaaye atma-saakshaatkaar
Kripa keejiye, Parwardigaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kripa Keejiye,Parwardigaar (08/05/2023)

Sakaaratmak Yogdaan (08/04/2023)

August 4, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1993

            Sakaaratmak Yogdaan

Prakop prakriti ka
Apmaan sanskriti ka
Dooshan vaataavaran ka
Shoshan paryavaran ka
Aisa hoga
Guruji ne pehle hee diya thaa inka sanket.

Inke saath saath
Japp Guru Govind ke naam ka
Sewa bhaav aur yog har insaan ka
Guru agya se rahega sahaayak kalyaan ka
Guruji ne sada se hee dee aisee prerna
Taaki hum jagaaye rakhein chetna.

Is maade waqt mein mann ka sthir rehna hota hai mushkil
Dhyan aur sadhna mein shaayad na laagey dil
Shaayad hai ya hoga aisa anubhav adhiktar jann ko
Lekin karte rahein Guruji ke bataaye aur sikhaaye simran ko
Toh Guruji kee kripa se dhyan bhi lagg jaayega
Aur soya hua chaitanya bhi jagg jaayega.

Shraddha aur prem bhaav se
Bakhshish maangte huey
Karni hai Guruji se arzi
Aur maan-ni hai Unkee marzi.

Karte huey prakriti aur sanskriti ka sammaan
Tyaag kar vaataavaran aur paryavaran ka apmaan
Tyaag kar dehbhaan apnaa kar dehi abhimaan
Hum Guruji kee kripa se dein sakaaratmak yogdaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sakaaratmak Yogdaan (08/04/2023)

Prafullit Ho Jaayegi Ye Srishti (08/03/2023)

August 3, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1992

       Prafullit Ho Jaayegi Ye Srishti

Guruji kar rahe Hain
Nirantar ashirwaad kee vrishti
Kintu agar mayli hogi hamaari drishti
Toh kaise sudharegi srishti?

Yog nahin hai pal do pal ka kirdaar
Yog ko bann-na hoga hamaara sahaj vyavhaar
Anuchit chitt vrittiyon ko tyaagna hai zaroori
Chod kar bahaana ki ve jeene ke liye hain majboori.

Anivaarya hai atma-nireekshan pal pal
Taaki vikarma se pehle hee buddhi mein ho bal
Aur vikarma karne se hum jaayein bach
Varna durdasha hogi, ye hai bilkul sach.

Jabb takk vikaaron se milega ras
Tabb takk atma rahegi bebas
Phir yog ho na paayega
Vyarth baaton mein jeevan beet jaayega.

Apne paap toh dhoyein
Na ki jaage jaage soyein
Duniya waalon se na darein
Kaayar na banein.

Guru Govind ko khush kar ke uddhaar hoga
Duniya waalon ko khush kar ke nahin
Ye yaad rakhein hamesha
Toh kaafi hadd takk charitra honei lagega sahi.

Aisa sochein ki yahaan aayein hain karne sayr
Na kisee se aasakti aur lagaav, na kisee se vayr
Samta se paripoorna ho jaaye hum sabke bheetar kee drishti
Toh paawan aur prafullit ho jaayegi ye srishti.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Prafullit Ho Jaayegi Ye Srishti (08/03/2023)

Uddhaar Se Shringaar (08/02/2023)

August 2, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#1991

Uddhaar Se Shringaar

Aye ruki hui zindagi
Tu chalne ka kya legi?
Aye jhuki hui bandagi
Tu praapti kab degi?

Zindagi ne bandagi ko kiya namaskaar
Bandagi ne kiya uss sammaan ko sweekaar
Dono ne ek saath sunaaya apna ye vichaar
Ki meri oar se aana chahiye aur bhi zyada bhaav bhara pyaar.

Kaha unhonei ki meri koshish par hai Guruji kee nazar
Aur Guruji kee kripa ka ho raha hai asar
Kintu mere prayatna mein reh gayi hai koi kasar
Jiske kaaran thamm sa gaya hai ye safar.

Kaha unhonei ki mai badhaaoon simran aur manan
Taaki saaf hota jaaye mere mann ka bartan
Samjhaate huey zindagi aur bandagi ne mujhse kaha
β€˜Praarabdh karmon ko bhugatna abhi baaki hai raha
Jaante Hain Guruji ki toone bahut hai saha
Sambhaalte Hain Ve har aansoo jo teri aankhon se hai baha.’

Yeh sunkar toh meri aankhein dobaara huin numm
Mehsoos kiya mainey ki mujhe udaas dekhkar Guruji ko hota hai itna gumm
Mainey mann hee mann maangi Guruji se maafi
Ki meri shraddha, mera pyaar aur vishwaas nahin hai kaafi.

Kaha mainey zindagi aur bandagi se
Ki mai hoon Unkee shukrguzaar
Kaha unse ki mai bhakti bhaav mein piro-oongi
Aur bhi vishwaas aur pyaar
Unhonei kaha ki meri koshish dekhkar
Guruji awashya banenge mere madadgaar.

Is mulaakaat ka hua mujh par gehra asar
Jaanti hoon ki Guruji kee inaayat se zindagi aur bandagi hongei agrasar
Pahunchaane mujhe bhavsaagar ke paar
Kar ke meri atma ka uddhaar se shringaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Uddhaar Se Shringaar (08/02/2023)