Aapke Charnon Mein (09/30/2023)

September 30, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2050

               Aapke Charnon Mein

Param poojya Guruji,

Aapke rubaroo hokar aaya samajh
Ki vyarth ganvaaya samay duniya mein ulajh
Asal sukh toh hai Aapse judey rehne mein
Asal sukoon hai Aapse sab kuch kehne mein.

Aapse jud kar seekha ki duniya aur duniyadari
Farz se zyaada ho toh banti hai beemari
Agar Aapke kareeb aane kee karni hai tayyaari
Toh baaki har aasakti kee aadat chodni hogi baari baari.

Aapne bakhsha simran itne pyaar se
Aapne satsang mein baithaaya dulaar se
Aapne Apni mamta barsaayee
Aapne Apni leela dikhaayee.

Aapki bandagi mein bandh kar
Hua ek adbhut si azaadi ka ehsaas
Har veh lamha jo beete Aapke chintan mein
Veh lamha hota hai itna anmol aur khaas
Ki jee chaahta hai Aapke khayaalon mein har lamha doon guzaar
Aapse mera prem badhta jaaye, karoon Aapse ye arzi baarambaar.

Maalik Hain Aap mere, murshid bhi Hain Aap meharbaan
Aap Hain nath, bhraata, aur meet mahaan
Duniya ke raaste beshak jaayein yahaan ya vahaan
Mera raasta vahee rahe Aap le jaayein jahaan.

Isey kahoon khwaahish ya guzaarish
Mai na samajh paaoon
Dhanya ho jaaye mera janam maran
Jo Aapke charnon mein antim saans le paaoon.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapke Charnon Mein (09/30/2023)

Aanandit Reh Tu Is Satya Se (09/29/2023)

September 29, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2049

       Aanandit Reh Tu Is Satya Se

Aanandit reh tu is satya se
Ki Guruji Hain tere angg sangg
Nishchint reh tu is tathya se
Ki Ve nikhaarenge tere lekhe ke rangg.

Santusht reh is baat se
Ki Guruji Hain tere saath
Khush reh Unke saath se
Ye hai sabse uttam baat.

Magn reh Unke chintan mein
Guruji Hain Shiv avatari
Mastt reh Unke simran mein
Ve Hain pyaare kirpadhaari.

Satsang ka shukrana kar
Guruji ka barasta hai ashirwaad
Unke sangg ka shukrana kar
Unhonei kiya hai tera jeevan aabaad.

Shuddh bhaav se kar Unkee bhakti
Guruji de rahe Hain tujhe shakti
Bin maange Unkee kahi maan-ne mein rakh tripti
Guruji de rahe Hain sukh kee yukti.

Mann ka haal kar ya na kar bayaan
Guruji toh Hain antaryami
Jo bhi ho raha hai yahaan vahaan
Guruji toh Hain jahaan ke swami.

Unke bhaane ko meetha jaan
Guruji Hain taaranhaar
Unkee mahima ko le tu maan
Ve Hain paawan Parwardigaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aanandit Reh Tu Is Satya Se (09/29/2023)

Aankh Mein Tinka (09/28/2023)

September 28, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2048

  Aankh Mein Tinka

Behosh sa apne ahankar mein
Raja chal raha thaa baazaar mein
Prajaa jhuk kar usey kar rahi thi salaam
Koi koi haath jod kar usey kar raha thaa pranaam.

Raja akad mein raha thaa chal
Saath saath thei pehredaar
Raja ke vahaan aane se
Shant sa ho gaya baazaar.

Ek kisaan, nirbal aur nirdhan
Raja ko dikha usee kshan
Ghrina se bhar gaya abhimaani raja ka mann
Raja peechhe hua jaise hee kisaan ne chhooey uske charan.

Raja ke mann mein aaya vichaar
Ki kisaan kee tinke kee bhanti hai jaat
Phir hui ek aisee adbhut si baat
Ki raja ko samajh aayi uskee kya hai aukat.

Kuch kshanon ke liye tez aandhi aayi
Raja kee ek aankh mein ghusa ek tinka dhool ka
Usey honei lagi bahut takleef
Jaise hua ho prahaar kisee shool ka.

Aankh mein se aansoo lagey behne
Raja ko dard aur jalan padey sehne
Is se pehle ki kuch madad karte raja ke pehredaar
Kisaan ne raja kee aankh par sheetal jal chidka baar baar.

Aankh khuli, jal ke sangg tinka beh gaya
Raja bhaav vibhor aur dangg reh gaya
Jis kisaan kee upma usne tinke se kee thi
Usee ne uskee samay par madad kee thi.

Raja ne kisaan ke aagey sir jhukaaya
Maafi maangi aur usey galey se lagaaya
Kisaan ne phatey kurte kee jeb se
Guruji ka swaroop nikaal kar raja ko dikhaaya
Guruji ahankar karne se manaa karte Hain
Kisaan ne raja ko bataaya.

Raja ko aayi bahut sharam
Ki uske thei ahankar se bhare karam
Guruji ka swaroop dekh kar
Uske bheetar jaagi pashchaataap kee bhawna
Usne mann hee mann ardaas kee
Ki usey sudharne kee hai kaamna.

Guruji ne raja ko Apne sangg joda
Raja ke charitra mein sudhaar aane lagaa thoda thoda
Usey simran bakhsh kar Guruji ne uska ahankar toda
Usey prajaa ke liye sewa karne kee oar moda.

Raja ka hua uddhaar
Prajaa bann gayi uska parivaar
Veh Guruji ka shukrana karta thaa baarambaar
Guruji ne Apni mehar se diya raja ko taar.

Ahankar ka vikaar baadha hai uddhaar mein
Archan hai ye Guru Govind ke deedar mein
Ahankar nahin honei deta pavitrata divya pyaar mein
Ahankar ko baahar chodkar jaana hoga bheetar Guruji ke darbar mein.

Hum sabhi tinke hai mitti ke
Ya phir tinke bhi shaayad nahin
Jabb itnee bhi aukat nahin hai
Toh kya ahankar karna hai sahi?

Zara sochiye apne bhavishya ke baare mein
Jabb sab mitti mein mil jaayenge
Vikaaron par niyantran paa liya
Toh sachkhand mein khil paayenge.

Guruji bakhshein aisee sumat
Ki Unke dikhaaye raaste par chal paayein
Unkee seekh ko apnaayein
Aur Unkee kripa se tarte jaayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aankh Mein Tinka (09/28/2023)

Buss, Aapse (09/27/2023)

September 27, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2047

                      Buss, Aapse

Shukrana, mere Guruvar pyaare
Aapne sainkdon bhakt Hain taare
Dhanya hui mai bhi ki Aapne bulaaya Apne dwaar
Mera janam maran deejiye sanvaar.

Yaad rahe mujhe mahatva sanyam ka
Mera mann gulam baney ruhaaniyat ke har niyam ka
Ruhaani hoon mai praani, mujhe sada rahe yaad
Har anubhav ke dauran, uss se pehle, aur uske baad.

Preet kee reet nibhaaoon
Kintu moh mein na phansti jaaoon
Dharma ke maarg par chal paaoon
Apne vichaar aur vyavhaar mein daya bhaav ko samaaoon.

Aapke naam japp se jeevit rahe saanson kee sargam
Aapki guruyaayee mein yoon magn rahoon ki na mehsoos ho koi gumm
Mere antas ka saara mal
Pashchaataap ke ashruon mein ghul jaaye
Aur vo mere har paap, har fikr ke sangg
Aapke sneh kee aviral dhaara se dhul jaaye.

Kalyuga ke is bhanvar mein
Chunautiyon kee is dagar mein
Hamesha kee tareh Apna saath deejiyega
Kripa kar meri naadaani seh leejiyega.

Mann mein simran chalta rahe Aapke naam ke jaap se
Aapki mehar se mukti miley har kiye paap se
Aapki bhakti mein bekhabar ho jaaoon har santaap se
Mere pyaare Guruvar, mera toh kal, aaj, aur kal hai buss, Aapse.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Buss, Aapse (09/27/2023)

Aap Vahaan Pahunchaayenge Zaroor (09/26/2023)

September 26, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2046

Aap Vahaan Pahunchaayenge Zaroor

Param poojya Guruvar,

Jabb se mila Aapki sharan ka sahaara
Tabb se dikh gaya jeevan kee naav ko kinaara
Aap paar le jaayenge Apni kripa kee patvaar ke dwaara
Shukrana Aapka ki Aapne is nacheez ko sweekaara.

Chaahe ho hawaa ka madhur sa jhonka
Ya phir aaye aandhi tufaan
Mujhse kaheen zyaada fikr hai Aapko mere ghar parivaar kee
Mere mann mein santushti hai apne is vichaar kee.

Mujhe aane wale kasht kee na bhi ho khabar
Aapko toh bahut pehle hee veh aa jaata hai nazar
Aap kitne aise kashton se mujhe aur meri naav ko bachaa lete Hain
Aur aksar sapnon mein bhi karma katvaa dete Hain.

Bhavsaagar kee lehrein jabb kabhi leti hain kathor roop
Toh Aapki leela ho jaati hai pehle se bhi anoop
Aapke dumm se lehrein jaati hain thamm
Ya Aapke kehne par ve nuksaan karti hain kumm.

Bhavsaagar ko paar karaate huey
Aap Apni mahima sunvaate aur kehlaate Hain
Apne kiye karmon ka thoda sa ansh bhugatnaa hoga
Aap kayi tareekon se samjhaate Hain.

Uss dauran bhi Aapke aanchal mein miltee hai suraksha aur mamta
Aapke bakhshe simran se mann ko miltee hai sehensheelta aur kshamta
Kripa keejiye ki Aapka dhyan karne se aaye mann mein samta
Taaki badi se badi chunauti mein bhi antas mein ho sthirta aur nishchintataa.

Naav ke is safar mein milee hai Aapki sharan
Is saugat se safal ho gaya hai jeevan
Kinaara ho chaahe kitnee bhi duur
Poora vishwaas hai ki Aap vahaan pahunchaayenge zaroor.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aap Vahaan Pahunchaayenge Zaroor (09/26/2023)

Suraksha Meri Zindagaani Mein (09/25/2023)

September 25, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2045

      Suraksha Meri Zindagaani Mein

Mere pyaare Guruvar,

Aapke mujh par hain anginat ehsaan
Mujh mein veh kaabiliyat nahin ki mai kar paaoon bayaan
Apne haathon se ponchhte Hain mera har aansoo
Apni karuna se chhoo lete Hain meri rooh
Apne pyaar mein yoon dete Hain doobne
Ki mai toh jaati hoon tarr
Apne haath mein yoon thaami hai Aapne meri doar
Ki sanvar gaya hai mera safar.

Aap Hain angg-sangg
Meri har khushi mere har gumm mein
Aap Hain mere maargdarshak
Mere jeevan ke har kshan mein.

Jab shabd bhi nahin hotey mere paas
Toh bhi Aap samajh jaate Hain mere dil kee baat
Aap shabdon se kaheen zyada bhaav dekhein bhakt ka
Sada bakhshte Hain Aap Apni daya kee saugat.

Aap lete Hain imtehaan
Aap hee karte Hain karma katvaane ka intazaam
Aap dete Hain kshama daan
Aap sada rehte Hain meharbaan.

Mai soch bhi nahin sakti ki Aapke bin mera hota kya haal
Aur vaise bhi mai mann mein kyun laaoon ye sawaal?
Aapke bin toh meri gati nahin
Aapke bin meri sumati nahin
Mera har anubhav hota hai Aapki nigraani mein
Aapke saanidhya mein hai suraksha meri zindagaani mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Suraksha Meri Zindagaani Mein (09/25/2023)

Guruji Kee Mahima (09/24/2023)

September 24, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2044

               Guruji Kee Mahima

Guruji kee mahima ko shraddha bhaav se tu sweekaar
Sachet reh ki ismein baadha na baney tera ahankar
Guruji kee mahima mein hai divyata ka aseem vistaar aur sookshma saar
Vikaaron par niyantran rakhega toh hota chalega tera uddhaar.

Abhi tera mann sweekaarta hai vikaar ka prahaar
Tu Guruji kee mahima sweekaar aur pukaar le apna sudhaar
Jitna sweekaarta chalega tu Guruji kee divyata kee mahima ko
Utna badhaata chalega tu apne mann kee kshamta ko
Manobal badhega toh badhega tera atma-vishwaas
Aur mann chod dega bann-na vikaaron ka das.

Sweekaar kar le Guruji kee mahima
Tu karta jaa Unkee is mahima ka gungaan
Jitna sunega aur sunaayega tu mahima Unkee
Utna hee hota chalega tera kalyaan.

Sunn ke aur kar ke Guruji kee mahima ka bakhaan
Milta rahega Guru kripa se tujhe Unke ashish ka daan
Ye bakhaan khud mein hee hai shreshth paath
Ye paath tu karta chal din raat.

Ye waqt hai maada, toone liya hai jaan aur maan
Guruji kee bakhshish se kar le paath, simran, aur dhyan
Guruji kee mehar se leta chal tu Unka naam
Sanvar jaayegi tere janam janam kee dastaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Kee Mahima (09/24/2023)

Kabb Kis Roop Mein (09/23/2023)

September 23, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2043

               Kabb Kis Roop Mein

Kabb kis roop mein
Guruji samaksh aa jaayein
Kaash mere mann kee aankhein
Unhe pehchaan paayein.

Koi kamee na reh jaaye meri oar se
Unke aadar satkar mein
Anumaan na ho paaye ki kya hoga
Unke darshan-e-deedar mein.

Shaayad bawri si ho jaaoongi
Ek saath hansti aur roti jaaoongi
Unhe chai aur meetha khilaana na jaaoon kaheen bhool
Kya hoga agar mujhe ne mil paayein Unke liye sundar phool?

Kehne ko bahut kuch hoga Unse
Keh paaoongi ya nahin, kya jaanoon?
Samajh hee nahin aayega shaayad
Ki Guruji ko kya doon?

Sharmindagi hogi ki saumpti hoon Guruji ko
Apne paapon aur karmon ka bhaar
Lekin aparimit khushi hogi mujhe
Ki ho raha hoga Unse deedar.

Mujh mein jaagta rahega koi na koi chaav
Aur Guruji dekhenge sirf mera bhaav
Mai Unkee aankhein chaahoongi dekhna
Mai Unse chaahoongi itna kuch seekhna.

Mann chaahega ki waqt jaaye ruk
Kya sochoongi jabb Unke charnon mein mera sir jaayega jhuk
Unke liye kya mai paaoongi gaa?
Kaise utsaahit hoga mujh par chadha Unke naam ka nashaa?
Kya mai kar paaoongi bayaan ki mujhe Unse hai beintehaa pyaar?
Kya mai vintee kar paaoongi ki meri Unse sada judi rahe seedhi taar?

Ye sochte sochte baithi rahi jharokhe ke paas
Mann mein teevr hoti rahi Guruji ke saakshaat deedar kee aas
Mere haath mein thaa Guruji ka swaroop
Jharokhe se padi uss par sunehri si dhoop
Antas mein sunaayee di Guruji kee awaaz
Ki Ve sada Hain bheetar aur mere aaspaas
Antas kee awaaz sunte sunte aayi khushboo ruhaani
Mujhe bheetar aur aaspaas mehsoos hui kampan suhaani.

Mere roam roam mein Guruji hee Guruji baste rahein
Ve mere mann mandir mein virajmaan reh kar hanste rahein
Phir jo aur jaise hoga usey jaanti aur maanti rahoongi sahi
Phir toh aur vaise bhi aur kuch chahiye hee nahin.

Jitna shukrana karoon Guruji kee prataapi maujoodagi ka
Veh kabhi nahin ho sakta kaafi
Apni har galati aur har khaami ke liye
Unse maangti hoon maafi.

Unkee kripa se sab hota jaa raha hai
Mera antas buss Unhee mein khota jaa raha hai
Yoon khote khote swayam ko Unmein khokar Unhe paaoon toh ho kitna achcha
Guruji, is nacheez mein sada ho Aapka vinamr anuraagi bhakt aur bachcha.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Kabb Kis Roop Mein (09/23/2023)

Gurbani Ke Aayine Mein (09/22/2023)

September 22, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2042

           Gurbani Ke Aayine Mein

Gurbani ke aayine mein dekhne se sankoch na kar
Gurbani ke darpan se kyun raha hai darr
Achchaa hee hai ki yahaan rehte huey hee jaan lega apni asaliyat
Guruji kee prerna se milegi parivartan kee kaabiliyat.

Parivartan, jiske dauran saaf hoga mann roopi bartan
Jabb tu Guruji ka chintan karega har kshan
Aur ekatrit karta rahega Unke naam ka dhan
Taaki nirmalta ka noor sajaaye tera jeevan.

Aisa parivartan le jaayega tujhe adhyaatmik oonchaayee par
Isee maksad se toh toone shuru kiya thaa yeh safar
Tu bhool gaya, koi baat nahin
Tabhi toh Guruji dikha rahe Hain tujhe raasta sahi.

Guruji jaisa rahnuma paakar tu hua hai dhanya
Tu buss nibhaata chal apna kartavya
Guruji ne bakhsha hai tujhe Gurbani ka simran
Is bakhshish kee bekadri kar ke naadaan na bann.

Gurbani ka simran hai praneta tere dhyan ka
Aur dhyan dikhaayega prakash gyan ka
Sammaan kar miley is simran ke daan ka
Ye hai raasta tere kalyaan ka.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Gurbani Ke Aayine Mein (09/22/203)

Guruji Ke Pyaar Mein (09/21/2023)

September 21, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2041

Guruji Ke Pyaar Mein

Har veh pal jo laata hai mujhe Guruji ke aur bhi kareeb
Guru kripa se veh banaa deta hai mujhe pehle se zyada khushnaseeb
Har veh mushkil jo aati hai zindagi mein
Veh prerna bann jaati hai bandagi mein.

Har veh geet jo Guruji kee yaad dilaata hai
Veh prem bannkar dil mein buss jaata hai
Har veh awaaz jo Guruji kee mahima sunaati hai
Uss awaaz ke liye dil se dua nikal aati hai.

Har veh jhonka hawaa ka jo laata hai Guruji kee khushboo
Veh bann jaata hai mere antas ka sugandhit sehra
Har veh ruhaani spandan jo chhoo leta hai
meri rooh
Veh Guruji ke sangg naate ko karta hai aur bhi gehra.

Har veh jheel jiska paani shant hokar hai behta
Veh Guruji ke taral swabhaav kee taareef mein bol hai kehta
Har veh phool jo bagiya mein hai khilta
Usmein Guruji kee komalta ka ehsaas hai milta.

Saadagi ke har noorani nazaara
Yaad dilaata hai Guruji kee saralta se milne wala sahaara
Har veh shuddh ehsaas
Laata hai Unkee nirmalta ka abhaas.

Har veh saans jo leta hai Guruji ka naam
Veh karta hai Guru dhaam pahunchne ka intazaam
Har veh paristhiti jo banti hai ek imtehaan
Veh banti hai Guruji dwaara kalyaan ka baan.

Har veh janam jo hota hai Guruji ke kamal charan mein
Veh sahaayak hota hai karmon ke bhaar ke haran mein
Har veh bhakt jisey Guruji bulaate Hain Apne darbar mein
Veh dhanya ho jaata hai bannkar deewana Guruji ke pyaar mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Ke Pyaar Mein (09/21/2023)