September 7, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2027
Divyata Ek
Bandhan tann ka ho ya mann ka
Bandhan umr bhar ka ho ya kshan ka
Bandhan ek janma ka ho ya janma anek ka
Atmik drishtikon upaay hai har ek ka.
Uss param jyot ka ansh hai sabke bheetar
Atma ke sundar roop mein viraajmaan
Phir bhi deh ke paar na dekha jaaye
Aise naadaan hain hum insaan.
Vishnu ji ne liya Shri Krishna ka avatar
Gita gyan se aaj takk kar rahe Hain uddhaar
Aaye Guruji Shiv avatari
Taarne aaye Ve sangat saari.
Divyata ek, sandesh bhi ek
Beshak hum poojein Devi Devta anek
Shuddh bhaav hai anivaarya
Jabb bhi karein hum koi bhi kaarya.
Dikhaawa hai nirarthak
Abhimaan hai haanikaarak
Vinamrata hai gehna
Tarr gaya jisne ye pehna.
Bheetar hee hai safar asal
Na dene do vikarshanon ko ismein dakhal
Zaroori hai kendrit rakhna dhyan
Taaki duur ho agyan.
Guru Govind kee mehar se toote bhautik bandhan
Guru Govind kee kripa se ho paaye vinamr vandan
Guru Govind kee karuna se vikaar aur vikarshanon ka ho khandan
Guru Govind kee mahima se mehsoos ho bheetar kee divyata ka spandan.
Anant ka karna hai anubhav
Ek mein
Aur veh anant basaa hai
Pratyek mein
Kyunki pratyek mein hai vo Ek
Jisey kehte Hain Parameshwar.
Unhee Parmeshwar ke hee toh Guru Govind Hain roop
Jis bhi roop mein poojo, Ve Hain divya jyoti swaroop
Naam anek hain kintu divya jyoti ek
Jo dekhe bhakt ka bhaav ho nek.
Guruji shuddh aur nek bhaav ko dete Hain mahatva
Unka kaha maan-na hai har bhakt ka kartavya
Shri Krishna ko poojein ya Hanuman ji ko
Pooj rahe hain hum Guruji mein basey Bhagwaan ji ko
Jo Maha Shiv Hain, Sarveshwar Hain,
Param prataapi poojya Parameshwar Hain.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Divyata Ek (09/07/2023)