September 10, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2030
Unka Har Hukm
Is jagg ke kann kann mein
Aur is jagg ke uss paar bhi
Jisne racha hai sabb baahar
Aur tere bheetar ka sansaar bhi,
Vo sabhi ko dekhta rehta hai
Sun-na seekh lo toh bahut kuch kehta hai
Beshak nahin Apni sthool vaani dwaara
Kintu Guru roopi Gurbani dwaara.
Vo Hai Parampita Parameshwar, Jinke roop ko tu ‘Gurujī’ keh kar hai pukaarta
Jinka ashirwaad tera har lamha hai sanvaarta
Tere jeevan kee har subah aur shaam
Unhonei Apne vash mein lee hai thaam
Teri swatantra ichcha aur neeyat ke alaawa
Tere jeevan mein baaki sab ho raha Unke hukm se
Isliye tu ubhar kar zaroor niklega
Apne har maansik zakhm se.
Tere deen anubhav tujhe kuch na kuch awashya sikhaate rahenge
Tere Guruji simran bakhsh kar teri chetna ko sada jagaate rahenge
Isliye apni chetna kee awaaz ko na karna tu nazar-andaaz
Kyunki Guruji kee mehar se tu samajh paayega Unkee ankahi awaaz.
Tu badi achchi kismat wala hai
Jo tujhe Guruji ne sambhaala hai
Swayam Hain jo Maha Shiv ka roop
Unkee leela toh yakeenan hai anoop
Shukr hai bulaaya Unhonei Apne dar par
Unka har hukm sada sir aankhon par.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Unka Har Hukm (09/10/2023)