September 13, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2033
Guruji Kee Goad Mein Basera
Ek kalaa chaand kee dikhee gagan mein
Uske kareeb dikha ik taara
Lagaa taara prasann ho raha ho
Jaisa paa liya ho jahaan saara.
Apne mann kee aankhon se dekha
Toh chaand kee kalaa lagi anmol aanchal
Jismein maano taara mamta se raha ho pal
Aur taare ka janam hua ho safal.
Chaand kee mamta mein Guruji ka aanshik roop
Ansh bahut hee chhota kyunki Guru mamta toh hai anoop
Taare ke bholepan mein Guruji ka aanshik spandan
Ansh bahut hee alp matra ka kyunki anupam hai Guruji ka spandan.
Guruji Hain roop Maha Dev ke
Jinhe bhakt sada karna chaahein prasann
Maha Dev kee hee kripa se
Aseemta paaye prataapi gagan
Jismein chamkein chaand aur taare
Bannkar ratna bahumoolya aur pyaare.
Aasmaan se lekar zameen takk
Har disha mein Guruji ka prataap aata hai nazar
Chaand taare hon ya ho sooraj kee kiran noorani
Sabhi mein hai Guruji ka saanidhya ruhaani
Har drishya mein hai Guruji ka ehsaas
Har kann mein hai Unkee divyata ka vaas
Guruji kee mahima se andhera bhi laaye savera
Dhanya ho har praani paakar Guruji kee goad mein basera.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Guruji Kee Goad Mein Basera (09/13/2023)