September 14, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2034
Bheetari Ruhaaniyat
Har waqt bolne kee pratikriya uchit nahin
Chup rehna aksar hota hai sahi
Guruji kee nazar se kabhi kuch chhipa nahin
Phir chaahe koi karey kuch galat ya sahi
Guruji kee jo raza hai hota hai vahi
Pathar kee lakeer hoti hai baat Unkee kahi.
Jabb takk na seekha jaaye maun mukh ka
Tabb takk shaayad na ho anubhav mann ke sukh ka
Maun mann ke liye pehle mukh maun rakhna seekhna hai achcha
Kyunki paripakvata na aayegi jabb takk mann rahega naadaan bachcha.
Saath hee koshish karni hai tann ko sthir kar ke baith paane kee
Aur tann ko vash mein karna hai mann dwaara
Koshish karni hai tann aur mann mein sanyam laane kee
Aur mann ko karna hai niyantran mein tann dwaara.
Bhakt kee koshish se Guruji hongei prasann
Unkee mehar se nikharta jaayega dhyan aur simran
Atma aagey badhne ke liye ho paayegi tayaar
Ho paayega Guruji se paawan ananya pyaar.
Guruji dekh rahe Hain bhakton kee neeyat
Rangg laayegi bhakt kee shuddh ibadat
Koshish karne wale par yakeenan barsegi Guruji kee inaayat
Guruji kee kripa se jaag uthegi uskee bheetari ruhaaniyat.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Bheetari Ruhaaniyat (09/14/2023)