September 18, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2038
Hartalika Teej Ka Shubh Parv
Bhadrapad Shukla Paksh kee tritiya tithi laayi
Hartalika Teej ka shubh parv
Suhaagin striyan apne pati kee deerghaayu ke liye
Rakhein nirjala vrat.
Gauri Shankar ke poojan se
Kunvaari kanyaayein maangein mann chaaha var
Kathaaon mein bhi itna mahatvapoorna kehlaata hai ye tyohaar
Striyan aur kanyaayein karti hain solah shringar
Parivaar mein ullaas laata hai utsaah ka uphaar
Hota hai AdiShakti aur MahaDev ka shodshoapchaar
Parvati Maa ka Shivji ke prati hai atoot shraddha bhara pyaar
Harat aur Aalika shabdon mein hai tyohaar ka saar.
Kaha jaata hai ki Maa Parvati kee sakhi
Maa ko le gayi ghane vann mein
Taaki Unkee ichcha ke viruddh na ho jaaye Unka vivaah
Itnee thee sakhi ko Adi Shakti kee sakhi roop mein parvah.
Maa ne swayam mitti se kiya Shivlinga ka nirmaan
Aur raat bhar jaag kar kiya Maha Dev ka dhyan
Kathor tapasya kee Unhonei Shivji dwaara sweekare jaane ke liye
Maha Dev mein Apna akhand suhaag aur saubhagya paane ke liye.
Mata Parvati ke is bhakti bhaav ko hai arpit
Hartalika Teej ka ye paawan tyohaar
Gauri Shankar kee pooja kar ke toh tarr jaata hai saara sansaar
Hum Guruji ke bhakton ko Guruji dete Hain Maa kee mamta aur Pita ka pyaar
Na vrat, na koi tapp zaroori, Guruji yaad dilaayein baar baar.
Phir bhi jo bhakt kee ichcha ho
Toh prem se uss bhaav ko sweekaarein Guru Sarvesh
Aur jo Unka aisa koi hukm ho kisee sangat ke liye
Toh Guruji swayam dein aadesh vishesh.
Sabhi ko Hartaalika Teej kee shubhkaamnaayein prem bhari
Sabke ghar parivaar kee bagiya Guru kripa se rahe hari bhari
Guruji sabhi ka karein kalyaan
Jis bhi roop mein dekhein, Guruji Hain karunanidhaan.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Hartalika Teej Ka Shubh Parv (09/18/2023)