September 21, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2041
Guruji Ke Pyaar Mein
Har veh pal jo laata hai mujhe Guruji ke aur bhi kareeb
Guru kripa se veh banaa deta hai mujhe pehle se zyada khushnaseeb
Har veh mushkil jo aati hai zindagi mein
Veh prerna bann jaati hai bandagi mein.
Har veh geet jo Guruji kee yaad dilaata hai
Veh prem bannkar dil mein buss jaata hai
Har veh awaaz jo Guruji kee mahima sunaati hai
Uss awaaz ke liye dil se dua nikal aati hai.
Har veh jhonka hawaa ka jo laata hai Guruji kee khushboo
Veh bann jaata hai mere antas ka sugandhit sehra
Har veh ruhaani spandan jo chhoo leta hai
meri rooh
Veh Guruji ke sangg naate ko karta hai aur bhi gehra.
Har veh jheel jiska paani shant hokar hai behta
Veh Guruji ke taral swabhaav kee taareef mein bol hai kehta
Har veh phool jo bagiya mein hai khilta
Usmein Guruji kee komalta ka ehsaas hai milta.
Saadagi ke har noorani nazaara
Yaad dilaata hai Guruji kee saralta se milne wala sahaara
Har veh shuddh ehsaas
Laata hai Unkee nirmalta ka abhaas.
Har veh saans jo leta hai Guruji ka naam
Veh karta hai Guru dhaam pahunchne ka intazaam
Har veh paristhiti jo banti hai ek imtehaan
Veh banti hai Guruji dwaara kalyaan ka baan.
Har veh janam jo hota hai Guruji ke kamal charan mein
Veh sahaayak hota hai karmon ke bhaar ke haran mein
Har veh bhakt jisey Guruji bulaate Hain Apne darbar mein
Veh dhanya ho jaata hai bannkar deewana Guruji ke pyaar mein.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Guruji Ke Pyaar Mein (09/21/2023)