September 22, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2042
Gurbani Ke Aayine Mein
Gurbani ke aayine mein dekhne se sankoch na kar
Gurbani ke darpan se kyun raha hai darr
Achchaa hee hai ki yahaan rehte huey hee jaan lega apni asaliyat
Guruji kee prerna se milegi parivartan kee kaabiliyat.
Parivartan, jiske dauran saaf hoga mann roopi bartan
Jabb tu Guruji ka chintan karega har kshan
Aur ekatrit karta rahega Unke naam ka dhan
Taaki nirmalta ka noor sajaaye tera jeevan.
Aisa parivartan le jaayega tujhe adhyaatmik oonchaayee par
Isee maksad se toh toone shuru kiya thaa yeh safar
Tu bhool gaya, koi baat nahin
Tabhi toh Guruji dikha rahe Hain tujhe raasta sahi.
Guruji jaisa rahnuma paakar tu hua hai dhanya
Tu buss nibhaata chal apna kartavya
Guruji ne bakhsha hai tujhe Gurbani ka simran
Is bakhshish kee bekadri kar ke naadaan na bann.
Gurbani ka simran hai praneta tere dhyan ka
Aur dhyan dikhaayega prakash gyan ka
Sammaan kar miley is simran ke daan ka
Ye hai raasta tere kalyaan ka.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Gurbani Ke Aayine Mein (09/22/203)