Unka Har Hukm (09/10/2023)

September 10, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2030

                   Unka Har Hukm

Is jagg ke kann kann mein
Aur is jagg ke uss paar bhi
Jisne racha hai sabb baahar
Aur tere bheetar ka sansaar bhi,
Vo sabhi ko dekhta rehta hai
Sun-na seekh lo toh bahut kuch kehta hai
Beshak nahin Apni sthool vaani dwaara
Kintu Guru roopi Gurbani dwaara.

Vo Hai Parampita Parameshwar, Jinke roop ko tu β€˜Gurujī’ keh kar hai pukaarta
Jinka ashirwaad tera har lamha hai sanvaarta
Tere jeevan kee har subah aur shaam
Unhonei Apne vash mein lee hai thaam
Teri swatantra ichcha aur neeyat ke alaawa
Tere jeevan mein baaki sab ho raha Unke hukm se
Isliye tu ubhar kar zaroor niklega
Apne har maansik zakhm se.

Tere deen anubhav tujhe kuch na kuch awashya sikhaate rahenge
Tere Guruji simran bakhsh kar teri chetna ko sada jagaate rahenge
Isliye apni chetna kee awaaz ko na karna tu nazar-andaaz
Kyunki Guruji kee mehar se tu samajh paayega Unkee ankahi awaaz.

Tu badi achchi kismat wala hai
Jo tujhe Guruji ne sambhaala hai
Swayam Hain jo Maha Shiv ka roop
Unkee leela toh yakeenan hai anoop
Shukr hai bulaaya Unhonei Apne dar par
Unka har hukm sada sir aankhon par.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Unka Har Hukm (09/10/2023)

Indhan Bhakti Ka (09/09/2023)

September 9, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2029

                Indhan Bhakti Ka

Indhan bhakti ka
Banega strot teri shakti ka
Chandan Guru vandan ka
Banega hissa tere spandan ka
Bandhan Guruji kee oar samarpan ka
Roop nikhaarega tere kiye tere Aradhya ke abhinandan ka.

Kyunki samarpan bin shaayad poorti nahin vishwaas kee
Samarpan aur vishwaas ka rishta kar bejod
Jo bhi ho jaaye Guru bhakti se muh na moad
Kyunki jo bhi ho jaaye Guruji na denge tujhe kabhi chod.

Guruji kee prerna se
Bhakti ke indhan se chalegi jo tere jeevan kee gadi
Toh durdasha aur bhayy se bachaa rahega
Beshak ho paristhiti maadi.

Tu buss nibhaata jaa apne kartavya
Guruji dikhaayenge tujhe tera gantavya
Samarpan ke bal par
Gaadi chalegi vaise aur vahaan
Guruji chaahenge jaise aur jahaan.

Shukrana kar bhakti ke ruhaani indhan ka
Har pal ko banaa avsar Guruji ke chintan ka
Jo bhi kar raha ho, liv judi ho Guruji sangg teri sada
Guruji kitne prasann hongei dekh kar teri ye ada.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Indhan Bhakti Ka (09/09/2023)

Jahaan Jaayein Aapke Kadam (09/08/2023)

September 8, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2028

Jahaan Jaayein Aapke Kadam

Aye chetna meri
Sarvasva kar de Guruji ko arpit
Ekaagra reh tu Guruji ke chintan mein
Aisee kripa kar, aye mere chitt.

Aye gyan, jabb jabb aana
Neevanpann atmasaat kar ke aana
Aye ahankar, sookshma ya sthool rehkar
Chod de meri atma ko sataana.

Aye neki, mera antas rangg dena apne rangg mein
Aye sachchaayee, sada rehna mere sangg mein
Aye shuddhi, dho dena mere har paap ko
Aye buddhi, mitaana agyan ke santaap ko.

Aye samarpan, na badha mujhse duuri
Balki mujhe Guruji ka bhakt kehlaane ke yogya de tu banaa
Shraddha ke sangg mujh mein basee rehna, o saboori
Tumhaare sangg honei se safar asaan hoga, beshak jungle ho ghanaa.

Jungle, mushkilon ka
Jungle, vikaaron ka
Jungle, duvidhaaon ka
Jungle, uljhanon ka.

Aye bhakti, kripa kar mujhe dete rehna aisee shakti
Ki koi bhi jungle na baney mujhe daraane kee yukti
Balki veh de mujhe aur bhi adhik utsaah
Ki mai chaloon Guruji kee dikhaayee raah.

Aye vishwaas, tu apne pankh phailaakar
Yoon udte rehna akash ke anant kee oar
Ki koi bhi vikarshan na bann paaye kaaran
Jo tujhe giraaye ya tera raasta de moad.

Aye mann, ek pal bhi aisa na aane dena apni zindagi mein
Jabb tu Guruji ke samaksh na jhuke shukrana aur bandagi mein
Aye pyaar, tu moh ke changul se baahar nikal kar ho azad
Aur Guruji ke pyaar mein reh tu aabaad.

Guruji, beshak ye koshishein hon raat din
Aapki mehar bin ye sab nahin hai mumkin
Aapse hee veh prerna jo Aapke dikhaaye path par mujhe lekar jaayegi
Aapse hee veh samvedana jo mujhe sambhaalkar dheeraj bandhaayegi.

Aapki sharan mein sehna pade jo bhi sitam
Aapke kamal charan mein safal hai janam maran
Har saans Aapse hee, kyun jaaoon mai aur kaheen
Jahaan jaayein Aapke kadam, kripa kar mujhe chalaayiyega vaheen.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jahaan Jaayein Aapke Kadam (09/08/2023)

Divyata Ek (09/07/2023)

September 7, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2027

                       Divyata Ek

Bandhan tann ka ho ya mann ka
Bandhan umr bhar ka ho ya kshan ka
Bandhan ek janma ka ho ya janma anek ka
Atmik drishtikon upaay hai har ek ka.

Uss param jyot ka ansh hai sabke bheetar
Atma ke sundar roop mein viraajmaan
Phir bhi deh ke paar na dekha jaaye
Aise naadaan hain hum insaan.

Vishnu ji ne liya Shri Krishna ka avatar
Gita gyan se aaj takk kar rahe Hain uddhaar
Aaye Guruji Shiv avatari
Taarne aaye Ve sangat saari.

Divyata ek, sandesh bhi ek
Beshak hum poojein Devi Devta anek
Shuddh bhaav hai anivaarya
Jabb bhi karein hum koi bhi kaarya.

Dikhaawa hai nirarthak
Abhimaan hai haanikaarak
Vinamrata hai gehna
Tarr gaya jisne ye pehna.

Bheetar hee hai safar asal
Na dene do vikarshanon ko ismein dakhal
Zaroori hai kendrit rakhna dhyan
Taaki duur ho agyan.

Guru Govind kee mehar se toote bhautik bandhan
Guru Govind kee kripa se ho paaye vinamr vandan
Guru Govind kee karuna se vikaar aur vikarshanon ka ho khandan
Guru Govind kee mahima se mehsoos ho bheetar kee divyata ka spandan.

Anant ka karna hai anubhav
Ek mein
Aur veh anant basaa hai
Pratyek mein
Kyunki pratyek mein hai vo Ek
Jisey kehte Hain Parameshwar.

Unhee Parmeshwar ke hee toh Guru Govind Hain roop
Jis bhi roop mein poojo, Ve Hain divya jyoti swaroop
Naam anek hain kintu divya jyoti ek
Jo dekhe bhakt ka bhaav ho nek.

Guruji shuddh aur nek bhaav ko dete Hain mahatva
Unka kaha maan-na hai har bhakt ka kartavya
Shri Krishna ko poojein ya Hanuman ji ko
Pooj rahe hain hum Guruji mein basey Bhagwaan ji ko
Jo Maha Shiv Hain, Sarveshwar Hain,
Param prataapi poojya Parameshwar Hain.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Divyata Ek (09/07/2023)

Behti Dhaara Hai Ye Zindagi (09/06/2023)

September 6, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2026

      Behti Dhaara Hai Ye Zindagi

Behti dhaara hai ye zindagi
Har boond hai anubhav ka moti anmol
Guruji kee karta chal tu bandagi
Naam ka japp tere uddhaar ka dwaar dega khol.

Seekhta chal zindagi kee dhaara ke bahaav se
Guruji kee bandagi karta chal tu shuddh bhaav se
Guruji Hain bhakt vatsal
Unkee karuna barasti hai har pal.

Ho sakta hai ki tujhe Unkee karuna ka aaj na ho ehsaas
Lekin kal tujhe zaroor gyat hoga ki Unkee karuna mein hai ashish khaas
Isliye tu himmat na haar
Na ho tu bekaraar.

Apne mann ko tu samjha
Simran dwaara har uljhan suljha
Mann karey jo manmaani
Toh tu uskee sunn-ne kee na karna naadaani
Tu bann jaa mann ka swami
Taaki vo na pahunchaaye tujhe koi haani.

Tu koshish kar, baaki Guruji par chod de
Tu buss Unke naam kee chunar odh le
Tera har anubhav ho jaayega ruhaani
Teri zindagi kee behti dhaara prateet hogi deewani….

…..deewani, Guruji ke naam kee
Jismein bahegi kaamna Unke dhaam kee
Phir tujhe sudh budh na rahegi subah aur shaam kee
Kyunki teri har saans mein mehek hogi divyata ke paigaam kee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Behti Dhaara Hai Ye Zindagi (09/06/2023)

Mere Maan-neeya Murshid (09/05/2023)

September 5, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2025

        Mere Maan-neeya Murshid

Murshid mere, shukrana Aapka baarambaar
Aapne sweekaara mujhe aur diya hai itna pyaar
Shiv avatari Guruji shikshak ke swaroop mein mujhe mil gaye
Meri khushnaseebi ke toh dwaar hee khul gaye.

Pyaare Guruji, Aap aayojit karte Hain satsang kee paathshaala
Aapki anumati se hee aata har chhatr vahaan
Gurbani aur Aapki mahima ke gungaan dwaara
Miltee hai sabhi ko shiksha vahaan.

Bin pravachan ke Aapne jeene ka raasta hai dikhaaya
Duniya ke mele mein mujhe mera kartavya samjhaaya
Aradhana mein bhakti bhaav ka mahatva sikhaaya
Aur har din ye sab yaad dilaaya.

Itne prem se simran aur dhyan dwaara
Aap dete Hain shiksha aur prerna
Seedhi taar judi rehti hai Aapse
Jis se Aapke chintan mein magn rehti hai chetna.

Sewa bakhsh kar mauka dete Hain Aap paap dhonei ka
Mantra dwaara avsar dete Hain Aap mein khonei ka
Ruhaani rahnuma kahoon ya adhyaapak adhyaatmik
Aapki daya se jeevan banaa hai sakaaraatmak.

Shiv Puran ka paath padhaaya Aapne
Jismein Apne Shiv Swaroop ka ehsaas dilaaya Aapne
Aapke har satsang mein milta hai gyan aur ashirwaad
Jis se is shishya ka antas hota hai aabaad.

Aapki sharan mein aakar mila Aapka maargdarshan
Saboori aur shraddha badhi, saaf honei lagaa mann ka darpan
Apni khaamiyon aur naadaaniyon kee oar badhne lagi jaagriti
Paripakva honei lagi duniya aur swayam ko dekhne ke nazariye kee aakriti.

Aap nirantar sikhaate Hain insaan bann-ne ka hunar
Bataate Hain ki ibadat ke bin adhoora hai ye safar
Abhi toh anekon paashon mein bandhi hoon
Aap hee kripa kar keejiyega unse azad
Galatiyan bhi hoti rehti hain mujhse yakeenan
Kshama karte rahiyega, hai meri Aapse fariyaad.

Abhi toh bahut kuch seekhna baaki hai, jaanti hoon
Kayi janam bhi lagg sakte hain, ye bhi maanti hoon
Aapki mehar se chalti jaaoon sahi disha mein
Aapke gyan ka noor mujhe savera dikhaaye agyan kee nisha mein.

Aap toh Hain gyan ka mahasaagar
Jiskee ek boond se hee mai tarr jaaoon
Aisa hai prataap Aapka, Guruvar
Shukrana ki Aapne bakhsha hai gyan ka ye safar.

Is shishya ko dete rahiyega daasi baney rehne ka avsar
Mamta bhaav se β€˜bachchi’ kehkar bulaate rahiyega Apne dar par
Nimaani hoon, naadaan hoon
Goodh gyan na aaye, anjaan hoon
Jaanti hoon buss itna ki Aap mein ramna chaahoon
Maanti hoon ki jo karna chaahoon, vo aksar na kar paaoon.

Deejiye kaabiliyat
Deejiye himmat
Deejiye shakti aur gyan
Deejiye bhakti ka daan.

Shikshak Divas ke utsav par Aapko shat shat naman
Aapke gyan bhavan mein meri saari matt hai arpan
Vahee sochoon aur vahee karoon, jo aur jaisa Aap chaahein
Mere maan-neeya murshid, kripa kar thaame rehna is cheli kee baahein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Mere Maan-neeya Murshid (09/05/2023)

Sukh Ka Dhaam (09/04/2023)

September 4, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2023

                   Sukh Ka Dhaam

Leta chal tu Guruji ka naam
Mil jaayega bheetar hee sukh ka dhaam
Jahaan Guruji swayam rahenge viraajmaan
Aur karte rahenge tera kalyaan.

Guruji ke naam mein hai tera hitt
Shant hota jaayega chitt
Aisee spashtata aur shuddhi aayegi
Ki tera har sanshay jaayega mitt.

Guruji ka naam dega tujhe shakti
Nikhaarega teri bhakti
Banega teri santushti kee yukti
Teri taakat banegi tripti.

Guruji ka naam roshan karta rahega tera raasta
Is naam ke sahaare akhand ho jaayegi teri Guruji mein aastha
Teri ye aastha tujhe Guru kripa se bahut aagey takk le jaayegi
Teri yaatra aur teri manzil mein chaar chaand lagaayegi.

Tere bheetar buss jaayega sukh ka dhaam
Veh hoga nirantar simran aur dhyan ka sthaan
Jahaan har pal goonjega Guruji ka naam
Jismein ramm kar tarr jaayenge tere praan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sukh Ka Dhaam (09/04/2023)

Antas Kee Rasna (09/03/2023)

September 3, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2023

               Antas Kee Rasna

Jabb raaste mein mai gir jaati hoon
Jabb niraasha se mai ghir jaati hoon
Mere Guruji pyaare mujhe uthaate Hain
Asha ka deep dikhaate Hain.

Jabb aankhein gumm se hoti hain numm
Jabb tootne lagta hai mann ka sanyam
Guruji mujhe dheeraj bandhaate Hain
Aankhon se muskuraana sikhaate Hain.

Jabb sulajhti nahin mujhse uljhan
Jabb dhundhla lagta hai dukh sukh ka sangam
Guruji jeevan kee nashwarta yaad dilaate Hain
Har haalaat mein chalna sikhaate Hain.

Jabb mushkil lagta hai simran
Jabb dhyan nahin kar paata mann
Guruji prerit kar kendrit karaate Hain
Prayaas ko sweekar kar ashish barsaate Hain.

Jabb baith-ti hoon Guruji ke charnon mein
Jabb Unse baat karti hoon unn lamhon mein
Guruji Apni mamta kee chaadar bichhaate Hain
Baaton baaton mein itna kuch samjhaate Hain.

Jabb jabb karti hoon Guruji ka dhanyawaad
Jabb bhi chhakti hoon Unka diya langar prasad
Badhti jaati hai Guruji se meri preet
Mere antas kee rasna gaati hai Guru stavan ke geet.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Antas Kee Rasna (09/03/2023)

Bijlee Aur Barsaat (09/02/2023)

September 2, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2022

                  Bijlee Aur Barsaat

Dekho dekho bijlee chamak rahi hai
Barsaat ke aane kee khabar isne kahi hai
Is barsaat mein hai amrit Guruji kee mehar ka
Ye barsaat intazaar na karegi aane wale pehar ka
Bijlee kee chamak mein hai Guruji ka noor, pyaare
Is se mit jaayenge gumm ke andhere saare.

Guruji kee mehar nahin hoti maamooli daat
Har bhakt ke liye hai veh sabse badi baat
Isliye bijlee ko na samjho kewal vidyut kee dhaara
Unkee mehar har bhakt ka hai sampoorna sahaara.

Is mehar kee barsaat ke bhinn bhinn hain roop
Kabhi ye laaye chhaaon kabhi kadak dhoop
Kabhi lagey ho jaaye ek pal mein
Kabhi chhipi ho vilamb roopi aane wale kal mein.

Beshak kaheen lagey kumm, kaheen ho moosalaadhaar
Is baarish kee har boond karegi bhakton ka uddhaar
Bijlee aur baarish se dhanya hoga sabhi bhakton ka ghar parivaar
Is bijlee aur baarish mein samaaya hai Guruji ka aseem pyaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Bijlee Aur Barsaat (09/02/2023)

Jabb Se Guruji Ne Hai Sweekaara (09/01/2023)

September 1, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2021

  Jabb Se Guruji Ne Hai Sweekaara

Komal pyaar mila
Baarambaar mila
Bhole bhandari Guruji se
Daya bhara deedar mila
Parwardigaar mila
Shiv avatari Guruji mein.

Honei lagaa kamzoriyon ka ehsaas
Simran mein ramne lagaa shwaas
Guruji ne liya jabb se sharan mein
Roam roam bann gaya Guru ka das
Antas mein hua Guruji ka vaas
Guruji ne sweekaara jo Apne charan mein.

Andhera mitne lagaa
Prakash dikhne lagaa
Jabb bheetar jyot jali Guruji ke naam kee
Jaise jaise uljhanein gayin sulajh
Kuch kuch aane lagaa samajh
Jabb atma ko raah milee Guruji ke dhaam kee.

Hota raha uddhaar
Anugrahit hua ghar parivaar
Guruji ke langar prasad se
Utarne lagaa karmon ka bhaar
Khulta gaya ruhaaniyat ka dwaar
Guruji ke ashirwaad se.

Shant hua mann
Dhanya hua har veh kshan
Jabb Guruji ko yaad kiya aur pukaara
Tarne laga hai antarmann
Sanvarne lagaa hai jeevan
Jabb se Guruji ne hai sweekaara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jabb Se Guruji Ne Hai Sweekaara (09/01/2023)