Apaar Kripa Kee Khan (10/05/2023)

October 5, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2055

Apaar Kripa Kee Khan

Guruji kuch dekar bhi azmaayein
Ve kuch lekar bhi lein pareeksha
Unkee leela mein sada hoti hai
Bhakt ke liye kalyaan aur shiksha.

Na hai koi bhi Guruji ke jaisa
Na hai Unke sangg rishte jaisa koi bhi aur naata
Bhakt Unkee oar chalne kee jitnee karey koshish
Uskee oar sainkdon kadam zyaada badhaate Hain Guru daata.

Har bhakt ka anubhav anokha
Har bhakt ka anokha hai safar
Ye safar kaun kab se kar raha hai
Iskee kewal Guruji ko hai khabar.

Is safar se pehle kya thaa
Aur kya hoga is safar mein
Veh bhi Guruji hee jaanein sabke baare mein
Hum toh raasta dhoondh rahe thei andhiyaare mein.

Guruji ne liya thaam hamaari baahon ko
Apni divyata se ujjwal kiya hamaari raahon ko
Unhonei diya hai atoot akhand sahaara
Bakhshi hai Apne naam kee sheetal dhaara.

Hum hain kitne bhaagyavaan
Ki hamein Guruji mein miley hain Bhagwaan
Kyun na leen ho jaayein Unhe paane mein
Na ki ulajhe rahein duniyadaari aur zamaane mein.

Jabb amrit kee khan mil sakti hai
Toh daldal mein kyun dhanste rahein?
Jabb asal azaadi mil sakti hai
Toh kyun janam maran mein phanste rahein?

Guruji sumat bakhshein ki hum grahan kar paayein Unkee dee shiksha
Unka shukrana ki Unhonei sweekaara hamein aur maangne dete Hain hamein bhikhsha.

Bhakt beshak hon anjaan
Guruji sada rehte Hain dayaavaan
Unke liye ek si hai Unkee har santaan
Guruji toh Hain apaar kripa kee khan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Apaar Kripa Kee Khan (10/05/2023)

Leave a comment