October 12, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2062
Har Janam Ke Jeevan Mein
Bann kar anaathon ke nath
Ho gaye har akele ke saath
Bin maa ke bhakt ko dein mamta
Bin kaabiliyat wale ko dete Hain kshamta.
Guruji ne liya maanav ka roop shareer dhaaran kar
Bulaane lagey bhakton ko Apne dar par
Taarne ke liye
Unka jeevan sanvaarne ke liye.
Unkee leela koi bhi na paaya hai samajh
Leela samajhne kee koshish mein aasaan hai jaana ulajh
Kyunki Guruji swayam roop Hain Bhagwaan ka
Jinkee leela samajhne ka saamarthya hee nahin insaan ka.
Unke ashirwaad se poornima mein parivartit hui amaavasya
Unkee kripa se gehri ho paaye bhakton kee tapasya
Jinhonei pehle na kiya thaa kabhi, unko bhi simran aur dhyan karaate Hain shuru
Sabhi par Apni bakhshish kee baarish barsaate Hain pyaare pooran Guru.
Is maade samay mein
Is aasann pralay mein
Milee hai Guruji kee sharan kalyaankaari
Is se behtar kismat nahin ho sakti hamaari.
Kabhi nahin ho sakta kaafi
Guruji ka jitna bhi shukrana kiya jaaye
Milee hamein kitne gunaahon kee maafi
Bin hamaare gidagidaaye
Phir shraddha bhaav se kee praarthana toh Awashya sweekaarte Hain Guruvar
Kyunki Ve toh Brahmaand ke Baadshaah ke roop mein
Hain Bholenath Har.
Guruji kee mehar hee hai madad dukh haran mein
Shat shat naman hai har kshan Unke charan mein
Unhee ke divya roop ka aabhaas aur deedar hota rahe simran mein
Miltee rahe Unhee kee sharan har janam ke jeevan mein.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Har Janam Ke Jeevan Mein (10/12/2023)