Shubh Mahoorat (10/16/2023)

October 16, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2066
                    Shubh Mahoorat

Kaheen hai apnapan aur pyaar
Kaheen dhokha miley baar baar
Kaheen behte hain jharne dhan ke
Toh kaheen bahein aansoo kisee nirdhan ke.

Kaheen prakash hai gyan ka
Kaheen andhera agyan ka
Kaheen kaheen sukhi hai poora ghar parivaar
Kaheen chal rahe hain dukh ke teer hazaar.

Zameen bhi vahee
Vahee hai aasmaan
Jinke vajood se
Zinda hai har insaan
Phir bhi apne pichhle karmon ka chalta hai yahaan bhugtaan
Tabhi toh sabki taqdeer nahin hoti hai ek samaan.

Apni sangat ko taarne
Apne bhakton kee taqdeer sanvaarne
Guruji ne maanav roop mein liya janam
Aur aaj takk karte Hain sangat ke kashton ka haran.

Guruji anginat sangat ko bulaate Hain Apne dar par
Aur bhakton ke anekon kasht lekar swayam par
Unke karmon ka adhiktar bhaar lete Hain har
Jis se bhakton kee taqdeer jaati hai sanvar.

Kewal is janam kee hee taqdeer nahin
Balki bhavishya ke janmon kee bhi
Guruji kee kripa ka hota hai aisa shubh asar
Ki susadhya hota hai atma ka aagey ka safar.

Isliye Guruji par hee sab chodne mein hai bhalaayee
Aur saath saath karni hai Guruji ke naam kee kamaayee
Naam kee kamaayee hoti chale zyada se zyada
Karmon ka bhaar hota jaaye kumm se kumm
Toh Guruji kee mehar se sanvar jaayegi taqdeer
Aur asal mainey mein dhanwaan banenge hum.

Aur jo Guruji se Guruji ko maang liya
Toh aur kuch maangne kee hogi hee nahin zaroorat
Phir toh bin maange hee jholi bharegi kalyaan ke daan se
Aur jeevan ka har pal bann jaayega shubh mahoorat.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Shubh Mahoorat (10/16/2023)

Leave a comment