Tu Sanshay Na Kar (10/19/2023)

October 19, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2069
               Tu Sanshay Na Kar

Jyot Guruji ke naam kee
Chitthi Unke paigaam kee
Manzil Unke dhaam kee
Hai vo tere bheetar
Tu sanshay na kar.

Unkee bakhshish se hota hai jo simran
Unkee nadar se judta hai jo mann
Unkee kripa se saaf hota hai jo darpan
Hai vo tere bheetar
Tu sanshay na kar.

Guruji se judi hai teri jo seedhi taar
Tera veh hissa jo pukaarta hai Unhe baar baar
Jahaan dhyan mein hota hai tera Unse deedar
Hai vo tere bheetar
Tu sanshay na kar.

Guruji kee tujhe dee hui prerna
Guruji dwaara daan kee gayi chetna
Guruji kee mamta bhari samvedana
Hai vo tere bheetar
Tu sanshay na kar.

Guruji ka tere liye prem aparampaar
Guruji ke liye tera bhaav bharaa pyaar
Is pavitra bandhan ka saar
Hai vo tere bheetar
Tu sanshay na kar.

Jis oorja se anugrahit ho raha hai tera angg angg
Jis gehraayee mein tujh par chadha hai Guruji ka rangg
Jis oonchaayee par tu ho jayega Guruji mein malang
Hai vo tere bheetar
Tu sanshay na kar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Tu Sanshay Na Kar (10/19/2023)

Leave a comment