October 27, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2077
Apne Kamal Charan Ke Paas
Phailaakar Aapke charnon mein
Apne antas kee jholi
Param poojya pyaare Guruji
Mai toh Aapki ho li.
Meri jholi hai Aapke samaksh
Jo Aapki marzi vo Aap deejiye bakhsh
Usey shukrana sangg na kiya qubool toh veh hogi meri bhool
Meri toh itnee aukat bhi nahin ki bann paaoon Aapke charnon kee dhool.
Aapki hui mai jabb se
Jeevan badal gaya tabb se
Aapki raza maangoon har kaam mein
Anand miley Aapke paawan naam mein.
Aapke sangg hai jo naata
Uskee badaulat mann adbhut sukoon hai paata
Ekant mein akelapann nahin hai hota
Kyunki antas Aapke chintan mein hai khota.
Ajeeb sa lagta hai soch kar
Ki Aapse judne se pehle kaise chalta thaa safar
Phir hansi aati hai apni naadaani par
Ki mai na jaanoon kab kis janam mein aayi mai Aapke dar.
Pichhle janmon ka toh nahin pata
Kintu is nacheez kee Aapse hai ardaas
Ki aane wale har janam mein, daata
Mujhe rakhiyega Apne kamal charan ke paas.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Apne Kamal Charan Ke Paas (10/27/2023)