Nahin Hai Koi Antar (11/08/2023)

November 8, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2089
 Nahin Hai Koi Antar

Param poojya Guruvar,

Nahin hai koi antar
Aap mein aur Nirankaar mein
Aapka hukm chale nirantar
Bheetar aur sansaar mein.

Sunn paayein ya nahin
Vo nirbhar hai hum par
Maanein ya na maanein
Vo bhi hum par hai nirbhar.

Aapne bulaaya hai Apne dar par
Hamein bhatakne kee zaroorat hee nahin dar dar
Har pal rehti hai hum par Aapki nazar
Toh kyun na ho jaayein hum har sanshay se bekhabar.

Bhayy ka kaaran bann jaata hai sanshay
Jo kathin karta hai nibhaana kartavya
Tabhi toh apraapya lagne lagta hai gantavya
Chhota sa tufaan bhi lagne lagta hai jaise koi pralay.

Hamein vishwaas ka aisa deejiye daan
Ki mit jaaye hamaare antas se sanshay ka naam-o-nishaan
Aisee chetna keejiye pradaan
Ki duur ho jaaye hamaara agyan.

Dhanya hain hum ki
Milee hai goad Aapki guruyaayee kee
Subuddhi bakhshiye
Taaki hamaare labon par ho vaani Aapki vadiyaayee kee
Har din jeevan kee kahaani mein judte rahein kisse
Aapke dwaara kiye kalyaan ke
Kripa kar ke hamein mauke bakhshte rahiye
Taaki hum geet gaa paayein Aapki mahima ke gungaan ke.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Nahin Hai Koi Antar (11/08/2023)

Leave a comment