Adhyaatmik Safalta Kee Oar (11/18/2023)

November 18, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2099
      Adhyaatmik Safalta Kee Oar

Na dhoondh tu apni khushi idhar udhar
Varna bhatakta hee reh jaayega
Doojon par kahaan chalti hai teri marzi
Kya jaane kaun kab kya keh jaayega?

Ho sakta hai tujh mein ho veh sanyam
Ki tu kisee ka bhi kaha seh paayega
Kintu ye bhi toh ho sakta hai
Ki tu anuchit disha kee oar beh jaayega.

Duniya mein jeete jee
Guruji ke naam ka amrit pee
Antas mein ho rahe yagya mein
Daalta chal tu shraddha bhaav ka ghee.

Ye ek ya do baar kee kriya nahin hai
Balki nirantar karte rehna hoga ye abhyaas
Taaki ho paaye atma saakshaatkaar
Jismein basaa hai Guru Govind ka deedar.

Guruji ne bakhsha hai simran
Ye bakhshish hai divya dhan
Isee se asal khushi paayega tera mann
Aur sampann hoga tera jeevan.

Guruji kee mehar se
Jitna badh paayega tere dwaara kiya simran
Utna badhta jaayega
Tere antas mein Unka chintan
Teri pravritti hoti jaayegi pehle se bhi zyada ruhaani
Antas mein ho rahe yagya kee agni ho jaayegi itnee noorani
Ki uska tej teri kanti ko char chaand lagaayega
Aur tera safar adhyaatmik safalta kee oar agrasar ho jaayega.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Adhyaatmik Safalta Kee Oar (11/18/2023)

Leave a comment