November 19, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2100
Tere Mann Ka Pavitra Shringar
Tere mann mein saagar hai
Anekon vichaar aur anekon vikaar se bharpoor
Guruji kee kripa ke bin
Inke kaaran vash chhaaya klesh nahin ho sakta duur.
Keh de tu, βAye mere mann
Kar tu vichaar saagar ka manthanβ
Beshak ho jaaye dil aur dimaag kee ann-bann
Kintu sudhar jaayega tera jeevan.
Agar karna hai aisa manthan
Toh chodna hoga parchintan
Karta chal atma chintan
Shuddh ho jaayega tere antas ka kann kann.
Guruji tere angg sangg rehte Hain har kshan
Unkee mehar se manthan dwaara praapt hoga asal dhan
Koi anuchit khayaal na kar paayega tere mann par aakraman
Karne bhi lagega toh usey bheetar na aane dega tera mann.
Tere mann mein hai nyaayaalay
Sahi galat ka le sakta hai veh nirnay
Jitna sthir hoga mann, mit jaayenge utne hee sanshay
Tere mann ka bal badh jaayega, aur veh ho jaayega nirbhay.
Satsang ke kiley mein hai tere mann ka ghar aur upvan
Vaheen bheetar hotey rahenge tujhe Guruji ke darshan
Nirantar chalta rahega jo tere mann mein Guruji se bakhsha hua simran
Niswaarth sewa se aur bhi chamak jaayega tera mann roopi darpan.
Manthan ko honei de nirantar aur baarambaar
Tabhi mil paayega tujhe Paramaarth ka saar
Duur hota jaayega har anaawashyak vichaar
Manthan dwaara ho jaayega tere mann ka pavitra shringar.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Tere Mann Ka Pavitra Shringar (11/19/2023)