Ye Guruji Ka Darbar Hai (11/22/2023)

November 22, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2103
           Ye Guruji Ka Darbar Hai

Ye Guruji ka darbar hai pyaare
Vyaapaar ka koi baazaar nahin
Yahaan milta hai naam aur bakhshish ka daan
Mol tol ka koi auzaar nahin.

Yahaan rangg khilta hai shart-rahit bhakti ka
Yahaan anugraha praapt hota hai Shiv Shakti ka
Yahaan sunaayee deta hai preet kee reet ka geet
Yahaan ke samraat ko bhaata hai bhaav vineet.

Khudaayee sakshat viraajit hoti hai yahaan
Kyunki Guruji swayam hotei Hain virajmaan
Unkee oar judta hai jabb dhyan
Tabhi praapt hota hai ye gyan.

Is darbar mein hoti hai sabki sunvaayee
Is darbar mein praapt hoti hai Guruji kee rahnumaayee
Is darbar mein aisee jyot jalti hai Guruji ke naam kee
Jo antas mein pravesh kar phailaati hai chhavi Shiv dhaam kee.

Jo maango vo mil jaata hai
Kintu na maangne wala aur bhi zyada le jaata hai
Ek ya do pal mein ye ho ya nahin
Kintu aakhirkaar hota hai sab Guruji anusaar sahi.

Ye sab leela hai Satguru kee, aye pyaare
Hamaari saans bhi chalti hai is leela ke hee sahaare
Guruji ka darbar hai Sachkhand ka darbaar
Is darbaar ka kar tu tahey dil se aadar satkaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ye Guruji Ka Darbar Hai (11/22/2023)

Leave a comment