November 24, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2105
Beshak Tera Zakhm Hai Gehra
Beshak tera zakhm hai gehra
Tu na bhool ki uspar bhi Guruji ka hai pehra
Zaroor hoga sabr ka asar
Tu shraddha mein na chod koi kasar
Tera jo aansoo baha bhi nahin
Guruji ko toh uss ansoo kee bhi hai khabar
Tere safar ke har manzar par hai Unkee nazar
Ve tere karma katvaakar tere dukh santaap rahe Hain har.
Gehre zakhm par malta chal marham Guruji ke naam ka
Dekhna, tujhe awashya anubhav honei lagega aaraam ka
Guruji ke chintan ko samay deta chal apni subah aur shaam ka
Tu apne farz nibha aur chod de sochna anjaam ka.
Jabb bhar jaayenge zakhm
Teri har peeda hogi khatm
Tabb bhi Guruji ka naam japna rakhna yaad
Is yaad ke liye abhi se kar Guruji se fariyaad.
Kyunki veh waqt aayega kal ke kisee bhi pal mein
Kyunki Guruji poori shakti lagaa dete Hain bhakt ke kashton ke hal mein
Ve toh pita bhi Hain aur Ve hee Hain mata
Har bhakt ke sangg hai Unka nirmal naata
Apni mamta se seench rahe Hain Ve teri atma
Kyunki Ve swayam hee toh Hain Paramatama
Unka hee ansh hai teri atma
Ve hee karenge tere har dard ka khatma.
Tere zakhm kee gehraayee se kaheen zyada hai Guruji kee aseem vadiyaayee
Tu Unkee vadiyaayee ka karta chal gungaan
Guruji ke naam ke marham kee mahima ko pehchaan
Tere liye kalyaankaari hoga Guruji ka diya har daan.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Beshak Tera Zakhm Hai Gehra (11/24/2023)