Teri Udaan Na Rahegi Adhoori (11/25/2023)

November 25, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2106
      Teri Udaan Na Rahegi Adhoori

Tujhe swayan hee bharni hai apni udaan
Tujhe hee banaani aur mitaani hai apni pehchaan
Pehchaan aur phir tyaag de apna abhimaan
Tere angg-sangg Hain Guruji ke roop mein swayam Bhagwaan.

Aseem akash de raha hai tujhe anivaarya pukaar
Usee pukaar ko sunn-ne aur maan-ne mein hai tera uddhaar
Ye akash baahar ka nahin, hai ye bheetar ka
Ye uddhaar bhi hai tere andar ka.

Atma-bodh hona hai zaroori
Taaki khud se mitey teri duuri
Isliye Guruji se kar ardaas
Ki jaagi rahe tere mann mein simran kee pyaas.

Guruji kee kripa se simran le jaayega tujhe dhyan mein
Dhyan se badhauti hogi tere gyan mein
Dhyan aur gyan teri madad karenge teri udaan mein
Isliye tu sees jhukaata chal Guruji ke sammaan mein.

Iske paawan prayaas se katenge tere karmon ke bandhan
Shuddh hota chalega tere dwaara kiya chintan aur vandan
Halka ho jaayega karmon ka bhaar
Badh jaayenge uttam udaan bharne ke aasaar.

Kalyaankaari hoga tere antas ka pavitrikaran
Tere vikaaron kee aniyantritata ka hoga haran
Mann kee sthiti hogi sthir aur sachchi
Teri udaan hogi achchi.

Ye yakeenan hai yukti
Jis se jeete jee hogi teri mukti
Aye bande, Guruji teri sahaayata kar rahein Hain
Unhonei dhyan mein tujhse prerna daayak shabd kahein Hain
Tu apni oar se kar koshish poori
Guru kripa se teri udaan na rahegi adhoori.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Teri Udaan Na Rahegi Adhoori (11/25/2023)

Leave a comment