November 27, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2108
Shubhta Ka Paigaam
Kartik maas ka din hai aakhiri
Sainkdon shraddhalu jann lagaate hain darbar mein apni haaziri
Hindu ho ya sikh, Shiv bhakt ho ya Vishnuji ke bhakt jann
Sabhi ke liye bahut vishesh hota hai Kartik Poornima ka ye din.
Dharma shastron mein Ved sabse shreshth
Yugon mein Satyug sabse uttam
Saritaaon mein Ganga
Vaise hee Kartik Maas hai maas sarvottam.
Jo shraddha se karein is maas mein deep daan
Mit-ta hai Dev kripa se Unka agyan
Deep daan, dhan daan, bhaav poorna snaan
In sabse mit jaate hain kasht mahaan.
Shiv ji aur Vishnu ji dono ko
Ye maas hai bahut pasand
Unkee kripa se shraddhaalu bhakt janon ke
Dukh santaap ka hota hai antt.
Deepawali ke panch shubh din
Kartik maas poora na ho inke bin
Maa Tulsi kee pooja ka hai vishesh mahatva
Shubh aur shuddh bhaav jaagrit karta hai devatva.
Kartik Poornima hai antim din is maas ka
Hota hai is din par ehsaas bahut kuch khaas ka
Pauranik granth Shivji dwaara is din Tripurasur ke vinaash kee katha sunaata hai
Aur tabhi se yeh din Tripurari Poornima ke naam se bulaaya jaata hai
Devtaaon ke chehre Tripurasur ke vinaash se prasannata se khile
Toh is din Dev Deepawali manaakar Ve aapas mein khushi se miley.
Kartikeya ka janam hua aur Vishnu ji ne liya is din Matsya Avatar
Aur surakshit kiya samast sansaar
Shaligram aur Tulsi Maa kee pooja kee hai is din reet
Bhakt manaate hain utsav aur gaate hain bhakti ke geet.
Guru Nanak Dev ji ka Prakash Purab bhi hai aaj
Jo sanvaarte Hain Apne sabhi bhakton ke kaaj
Kewal sikhon ko nahin, balki poori maanavta ko Unhonei sadachari ka raasta dikhaaya
Apne saade saral jeevan ke maadhyam se swayam mein Devatva darshaaya.
Swayam Nirankar aaye Ve dharti par lekar Guru Nanak ji ka roop
Har shraddhalu bhakt waakif hai ki Unkee leela hai kitnee anoop
βKirt karo, Naam japo, Vand chhakoβ ye hain Unke kahe siddhant
Inke anusaran par aadhaarit Guru Granth Sahib Ji mein hain anek drishtant.
Guruji Maharaj ke darbar mein bhi
Guru Nanak Dev Ji shraddha se hotey Hain virajmaan
Guruji ke mandir aur satsang mein simran ke dauran
Sunn-ne ko milta hai Gurbani ka ruhaani gaan.
Har shabad ka saar gehra
Har shabad ke spandan se utsaahit hota hai vandan
Guruji kee mehar se ho paaye simran aur dhyan
Jaisa bhi simran Ve bakhshein, usey ashirwaad lein hum maan.
Bahut khushnaseeb hain hum
Ki chaahe jeevan mein ho khushi ya gumm
Guru kripa se bhakt kar paate hain Gurbani ka Shravan
Aur usee par Guru mehar se ho paata hai manan.
Kalyuga mein kirtan ka mahatva hai khaas
Gurbani kirtan se badhta hai Guru kripa ka ehsaas
Protsaahit ho jaata hai simran aur dhyan ka prayaas
Aisee bakhshish miltee rahe, hai Guruji se yeh ardaas.
Guruji sabhi ko taarein
Sabhi ke Ve kaaj sanvaarein
Dil se nikle dua ki saari sangat ka ho kalyaan
Aaj ka din sabhi ke liye laaye shubhta ka paigaam.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Shubhta Ka Paigaam (11/27/2023)