Mann Pyaasa Hai Simran Ka (11/29/2023)

November 29, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2110

Mann Pyaasa Hai Simran Ka

Sthaayi nahin hai sukh
Na hee sthaayi hai dukh
Paristhiti badalti rehti hai rukh
Toh mann kee sthiti ka alag ho jaata hai mukh.

Sukh mein mann muskuraata hai
Dukh mein mann dhal sa jaata hai
Jabb takk aisa hota rahega
Bhakt taralta se kaise paristhiti sahega?

Mann pyaasa hai simran ka
Simran karey pavitrikaran mann ka
Guruji kee bakhshish hai simran
Guruji ka ashish hai simran.

Simran se akelapann bann jaaye ekant
Simran se mann ho jaata hai shant
Simran se mann ko miltee hai ekaagrata aur sthirta
Mitne lagti hai mann kee ashuddhi aur chanchalta.

Swaabhaavik hai sukh dukh ka aana jaana jeevan mein
Anivaarya hai simran aur chintan ka jaari rehna mann mein
Badhta rahega jo inse manobal
Toh vyakulta aur niraasha ka hoga hal
Mushkil samaa jaayega tal
Sehenshakti laayega aane wala har pal.

Simran kee bakhshish ke liye Guruji ka dhanyawaad
Dhyan na bhi lagey toh bhi Guruji dete Hain ashirwaad
Simran karte karte kumm hoti jaayegi Guruji se duuri
Mehar karein Guruji ki kisee bhakt kee koshish na rahe adhoori.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mann Pyaasa Hai Simran Ka (11/29/2023)

Leave a comment