Guruji Ke Naam Ka Aasra (12/15/2023)

December 15, 2023

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šŸ™šŸ»šŸ™šŸ»

#2126

Guruji Ke Naam Ka Aasra

Sansaar ka kya kehna
Kisee ne bhi nahin yahaan sada rehna
Har koi yahaan mehmaan hai
Sanatan shashvat toh kewal Shiv Bhagwaan Hai.

Srishti kee rachna, paalan poshan, aur sanhaar
Mahadev hee sambhaalte Hain inka bhaar
Brahmaji aur Vishnuji utpann huey Unhee ke angg se
Saari srishti ke rangg hain Unhee ke rangg se.

Chaurasi lakh yoniyon se oopar utha kar
Mahadev ne mauka diya ki hum insaan ke roop mein lein janam
Agar unnat ho jaayein hamaare karam
Toh is janam mein nibhaa paayenge hum insaaniyat ka dharam.

Guruji Hain Shiv avatari
Aaye karne adhyaatmik unnati hamaari
Hum par karmon ka karz hai itna bhaari
Unkee mehar se awashya ho sakti hai aagey badhne jee tayyaari.

Guruji hamein de rahein Hain prerna
Insaaniyat ke dharam ko nibha paane kee
Achchaayee ke raaste par chalte jaane kee
Purusharth mein safal ho paane kee.

Guruji ka naam hai teerath dham
Kintu hamein karna hoga apna kaam
Taaki baar baar na bann-na pade mehmaan
Varna atma ka aana jaana lagaa rahega yahaan vahaan.

Guruji kee sharan mein hai hamaara tarna
Unhee kee sharan mein hai hamaara jeena marna
Hum bhakton ka toh naseeb hee khil gaya hai
Jabb se Guruji ke naam ka aasra mil gaya hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji šŸ™šŸ»šŸ™šŸ»
Dhirja

Guruji Ke Naam Ka Aasra (12/15/2023)

Leave a comment