December 24, 2023
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
#2135
Jabb Se Guruji Ke Sangg
Jabb se Guruji ke sangg
Unkee mehar se judi hai seedhi taar
Kaise bayaan karoon ki kis tareh se
Sajj sanvar gaya hai mera sansaar.
Jin maamalon kee fikr hoti thi aksar
Uss fikr ko milta nahin abb avsar
Chinta ke bajaaye waqt zyaadaatar
Chintan mein jaata hai guzar.
Pehle se bhi zyada sakaaratmak honei lagaa hai nazariya
Guruji Apni leela se banaa rahe Hain aagey kee dagariya
Ve toh poora raasta banaa dete Hain jahaan hota hee nahin saadhya
Itne paraakrami aur sarv-shaktimaan Hain mere aaraadhya.
Ve hee bakhshte Hain simran
Simran mein ramaa dete Hain mann
Unke ruhaani saanidhya mein beet jaate hain kshan
Toh mehak jaata hai antarmann ka upvan.
Badh gayi kashish koshish karne kee
Aadat chhoot si gayi darne kee
Har kaarya ko kar Guruji ko arpan
Ek anokha sukoon paata hai mann.
Rukh badalte hain mausam jeevan ke
Aate jaate hain lamhe khushi aur gumm ke
Aur Guruji ke sangg judi veh doar
Prem se kheenchti jaati hai Unkee oar.
Pyaar Unka hai itna pyaara
Dulaar Unka hai daya se bharpoor sahaara
Unke bin toh hai hee nahin mera guzaara
Mujhe sweekar kar Unhonei mera janam hai sanvaara.
Shukrana param poojya Guru sarkaar ka
Shukrana Unse jodne wali seedhi taar ka
Kisee seema ka koi bandhan nahin hai Unke kiye upkaar ka
Kyunki Ve toh swayam hee Hain noorani roop Nirankaar ka.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Jabb Se Guruji Ke Sangg (12/24/2023)