Tayyaar (01/08/2024)

January 8, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2150
                Tayyaar

Tann ka khayaal rakhna zaroori samjha
Taaki rahe nirogi aur sundar kaaya
Mann ko vash mein karne kee koshish kee
Jisey iska mahatva samajh mein aaya.

Na aaya samajh jisko
Vo mann ko vash mein na kar paaya
Mann ne uska swami bannkar
Usko bada sataaya.

Ye baat toh hui tann aur mann kee
Abb atma ke baare mein karein baat
Atma Paramatama ke sangg milan ke liye karti hai safar
Is koshish mein na jaane kitne janmon se leti veh hai guzar.

Ye maamla dikhaawe ka nahin
Ye baat hai bheetar kee
Anant mahatva rakhti hai is milan ke liye
Kripa aur karuna Guruvar kee.

Baaki sab hai nashwar
Kintu atma ko aisa nahin banaate Ishwar
Kyunki veh toh Unhee ka hissa hai
Unke milan ka hee ye saara kissa hai.

Tann aur mann ke saath saath
Anivaarya hai atma ka poshan
Tabhi toh uska aagey ka safar
Hoga safalta se roshan.

Utaarna hoga uss par se pichhle karmon ka bhaar
Taaki hota rahe atma ka uddhaar
Har pratikool daag hoga mitaana
Taaki atma ka safar ho suhaana.

Guruji ke bakhshe simran aur dhyan se
Hota chalega antas ka pavitrikaran
Unkee mehar se dhulega mal
Paap aur vikaar ka prabhaav jaayega tapp kee agni mein jal.

Guruji katvaate rahein karam
Taaki atma ko lene padein kumm janam
Tabhi toh uskee Paramatama sangg milan kee aayegi baari
Jiske liye veh na jaane kitne janmon se kar rahi hai tayyaari.

Guruji dete rahein is tayyaari ke liye hamein prerna aur jaagriti
Unkee kripa se sudhar jaaye hamaari soch aur karmon kee aakriti
Taaki kumm hotey hotey khatm ho atma par se karmon ka bhaar
Aur veh Paramatama Guruvar mein samaane ke liye ho jaaye bilkul tayyaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tayyaar (01/08/2024)

Leave a comment