January 10, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2152
Kahar Ka Kohara
Kohara chhaaya hua thaa kahar ka
Koi sanket na dikh raha thaa sehar ka
Musaafir ko sataa raha thaa bhayy
Mann mein uth rahe thei anek sanshay.
Ghabraa raha thaa badhne se aagey
Toot na rahe thei vikaaron ke dhaagey
Soch mein thaa ki bhaagey toh kahaan bhaagey
Is se pehle ki mann mein koi aur asur jaagey.
Mann mein sahi aur galat ka yuddh chal raha thaa
Itna maansik oorja roopi rakt baha thaa
Vaad vivaad ke shastra kar rahe thei ghaayal mann ko
Jiske kaaran kasht ho raha thaa tann ko.
Yakayak uske saamne aayi ek parchhaayi
Thaame huey haath mein damru aur trishul
Usey mehsoos hui shareer mein ek kampan
Aur achanak satark sa hua uska mann.
Bijlee ke jaisi chamak, aur phir gulab kee khushboo
Is anokhe anubhav se aashcharyachakit hui uskee rooh
Veh toh malta hee reh gaya apni aankhein
Jabb usey Guruji dikhey apne aagey.
Kohara na jaane chala gaya kahaan
Abb ujaala hee ujaala thaa vahaan
Guruji ne Apne haath se musaafir ka maatha chhua
Guruji kee leela se uska toh kalyaan hua.
Usee pal shant aur sthir ho gaya uska mann
Guru kripa se shuru hua uske mann mein simran
Guruji ne bakhshi usey avastha dhyan kee
Aur uske bheetar jyot jalaayee gyan kee.
Mann mein chal raha yuddh aur vaad vivaad hua khatm
Bharne lagey uske tann aur mann ke zakhm
Musaafir hua aur bhi hairaan
Jabb Guruji ho gaye antardhaan.
Mann jo hua shant aur sthir
Toh musaafir chal pada ek baar phir
Raasta aa raha thaa saaf nazar
Mann mein na thaa koi agar-magar.
Guruji kee karuna se hua musaafir ka kalyaan
Guruji Maharaj Hain deen dayal karunanidhaan
Ghaney se ghanaa kohara bhi ho jaata hai duur
Itna balshaali aur ujjwal hai pyaare Guruji ka noor.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Kahar Ka Kohara (01/10/2024)