Aye Mere Mann Naadaan (01/13/2024)

January 13, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2155
           Aye Mere Mann Naadaan

Aye mere mann naadaan
Apni kamzoriyan pehchaan
Unhe sudhaarne ka kar kaam
Lete huey Guruji ka naam.

Guruji bade dayalu Hain
Guruji bahut kripaalu Hain
Teri khaamiyan Ve jaante Hain
Teri ‘mai’ ko pehchaanate Hain.

Tu apni madad karne ke liye ho tayyaar
Guruji tujh par chadhi mayl ko denge utaar
Chamakne lagega tera darpan, aye mann
Apne bhale ke liye tu abb samajhdaar bann.

Tu dikhta nahin, ye sahi hai
Tu jaisa sochta hai, tann karta vahee hai
Guruji karna chaahte Hain tera uddhaar
Aye mann, tu apni soch ko sudhaar.

Na mehsoos kar swayam ko asahaay
Yaad rakh, Guruji sada sahaay
Unhonei bakhsha hai tujhe simran, aye mann
Unkee ye bakhshish hai anmol divya dhan.

Aye mann, tu vyarth na jaane dena is dhan ko
Unke naam simran se sajaa le apne bheetar ke upvan ko
Tere roam roam mein vaas karegi Guruji kee khushboo
Toh harsh se gadd gadd ho jaayegi meri rooh.

Mere is ruhaani safar mein
Bahut mahatvapoorna hai tera kirdaar
Is safar ko safalta kee oar le jaane ke liye Tujhe niyantrit karna hoga apna har vikaar.

Aye mere mann, tu nishtha bhaav se koshish kar
Vikarshan se na ho vyakul, chunautiyon se na darr
Guruji mein lagan lagaa, tu Unkee mehar se jaayega tarr
Tu buss apne aap ko Guruji ke charnon mein arpit kar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aye Mere Mann Naadaan (01/13/2024)

Leave a comment