Jyot Jalaa Kar (01/24/2024)

January 24, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2166
                    Jyot Jalaa Kar

Jyot jalaa kar baith jaao
Guruji ke samaksh
Mann kee aankhon se jaano
Guruji Hain pratyaksh.

Guruji toh swayam Hain anupam divya jyoti
Unkee mehar se sadgati hai hoti
Kewal neeyat aur koshish hamaari, bhaav hamaara
Kintu sabb mumkin karey Guruji ka sampoorna sahaara.

Hamaare mann ka Guruji ko sarvsamarpan
Hamaari oar se Unka nirantar chintan
Guruji ka hamein bakhsha hua simran
Unke dwaara hamaari chintaaon ka khandan.

Unka naam lete lete jo lein hum shwaas
Toh hota hai ek anokhi raahat ka ehsaas
Jaise Unhonei le liya ho bhaar har pareshaani ka
Unke charnon mein arpan hai har lamha hamaari zindagaani ka.

Har jyot hai Guruji kee divya jyoti ka hissa
Har atma hai hissa Paramatama Parameshwar ka
Guruji ke ashish bin na kaayam kisee sangat kee kahaani ka kissa
Sabhi par ashirwaad banaa rahe Guruji Maharaj Maheshwar ka.

Shabdaateet hai is jyot ka noor
Is jyot se antas ka andhera ho duur
Param poojya Guruji se hai yeh vinamr vandan
Ki is jyot se jyotirmay hota rahe saari sangat ka jeevan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jyot Jalaa Kar (01/24/2024)

Leave a comment