Adhyaatma Ke Akash Mein (02/23/2024)

February 23, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2196
        Adhyaatma Ke Akash Mein

Yug sangam ka samaa hai chaaron oar
Kar lein apne antas par gaur
Vaheen par kar paayenge asal tayyaari
Jabb padegi zaroorat uskee ati-bhaari.

Maanav ne prakriti ka kiya hai apmaan
Prakriti ne saha hai itna nuksaan
Phir bhi rakhti rahi sab praaniyon ka veh dhyan
Lekin tabb bhi duur na hua maanav ka agyan.

Thakk gayi hai abb prakriti
Nibhaate huey niswaarth preeti
Nishchit hai khatma kalyuga ka
Taaki aagaman ho satyuga ka.

Baahar jaana chod nahin sakte
Lekin bheetar jaane se kisee ne nahin roka
Jo bheetar na jaaye baar baar
Usey swayam se hee ho jaayega dhokha.

Guruji ne hamein jod kar swayam se
Kiya hai hum par aseem upkaar
Sewa, simran, satsang, dinacharya mein
Ve hamein bheetar jaana yaad dilaate Hain baarambaar.

Guruji ka diya yeh maargdarshan
Hamaari raksha karega har kshan
Besharte hum uss par amal karein
Taaki pralay kaal mein jeete jee na marein.

Na bhoolein Guruji kee kahi baat
Toh hum surakshit rahenge din raat
Simran aur dhyan se mann ko milegi kshamta
Aur hamein milegi suraksha kee sampoornata.

Varna jabb baahar hongei bhukamp aur tufaan
Toh unse bhi zyaada dardnaak hogi asthirta aur kampan bheetar kee
Abhi toh phir bhi saawan hai
Tayyaari kar lein abhi se patjhad kee.

Pehchaanein Guruji kee prerna ka paigam
Guruji hamaare mann kee shanti aur sthirta ka kar rahe Hain intazaam
Khushnaseeb hain hum ki japp paate hain Guruji ka paawan naam
Guruji ke sahaare adhyaatma ke akash mein hum bharein udaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Adhyaatma Ke Akash Mein (02/23/2024)

Leave a comment