February 28, 2024
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
#2201
Uddhaar Ka Aadhaar
Saari umr lagaa dee tann ko sanvaarne sajaane mein
Saari umr beet gayi duniyadari ke rishte nibhaane mein
Mann ko toh chaahat aur zaroorat ka arth na aaya samajh
Hum bhi mann ke das bannkar gaye mann ke matvaalepan mein ulajh.
Guruji abhi bhi de rahe Hain mauka
Ki abb na dein hum swayam ko dhokha
Abb bhi samay hai isliye jaayein jaag
Bahut ho chuki agyan kee neend mein vyarth kee daud-bhaag.
Aparipakvata se bahut liye jee
Zindagi ka ek daur thaa veh bhi
Abb toh jaayein sambhal
Jald hee aayega aane wala kal.
Guruji kee kripa se badhaayein manobal
Taaki chhote ya bade maamalon se na ho mann mein halchal
Na sukh, na dukh asthir karey mann ko ek bhi pal
Varna phansa lega hamein kalyuga ka dal-dal.
Jaise jaise waqt ke lamhe bahein
Zaroorat hai ki hum saavdhaan rahein
Beshak pehle kewal jaagte huey
Lekin phir saath mein nidra kee sthiti mein
Tabhi toh tayyaar hongei akhandata kee avastha ke liye
Jeevan kee kaisi bhi paristhiti mein.
Bheetar ho jaayegi bhakti kee akhand umang
Chetna bann jaayegi jheel nishtarang
Mann ke paryavaran mein hogi sthirta aur shanti
Tann, mann, aur atma par chhaa jaayegi Guruji kee kanti.
Guruji ka nirantar simran
Guruji ka nirantar chintan
Unkee kripa se karta rahega hamein tayyaar
Guruji Hain Mahadev ke avatar
Unkee sharan mein hai hamaara uddhaar
Is kalyuga mein Unka naam hai is uddhaar ka aadhaar.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Uddhaar Ka Aadhaar (02/28/2024)