Sunehra Mauka (02/19/2024)

February 19, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2192
     Sunehra Mauka

Khareed le jitnee bhi kothiyan aur zameenein
Tu rahega toh karzdaar kyunki
Karmon ke karz ko chukaana abhi baaki hai
Apna har farz nibhaana abhi baaki hai.

Isliye beshak zameen teri ho ya paraayee
Satark hokar lena tu har kadam yahaan
Har raaste par bichha hai maya ka jaal
Beshak tu chalta jaaye jahaan.

Kaheen aisa na ho ki jis zameen ko tu kehta hai apna
Uss se milne wala sukh ho kewal ek sapna
Kyunki vahaan phans kar maya ke jaal mein
Tu ho jaaye dukh ke haal mein.

Zameen teri ho ya kisee aur kee
Chalna tu dhyan se
Guruji raasta dikhaayenge
Anugrahit karenge tujhe gyan se.

Gyan ka sadupyog karna tu, kyunki
Chalte phirte dene hongei tujhe imtehaan
Har tareh ke sambandh ke sampark ko bhi
Tu imtehaan ka hee ek pehlu maan.

Sirf duur aur doosaron par na rakhna nazar
Balki nazdeekiyon par aur swayam par gaur zaroor farmaana
Bhaukivaad ke gaddhe mein aise na gir jaana
Ki phir mushkil ho jaaye baahar aana.

Chalte chalte jhankte rehna apne gireban mein
Aur vikaaron ko vish na gholne dena apni ruhaani pehchaan mein
Khushakismat hai tu ki kar paata hai tu Guruji ke naam ka amrit paan
Is amrit se apne antas ko seench kar bann jaa tu sadgunon kee khan.

Jaise jaise har din ka sooraj uday ho aur dhalta rahe
Vaise vaise tere bheetar Guruji ka naam simran chalta rahe
Keechad se gande honei kee paristhitiyaan beshak aayein anek
Tu Guruji ka anusaran karna aur rehna nirlep.

Gupt daan, gupt sewa, gupt paath karna rakhna yaad
Inke sangg simran aur satsang ke liye Unse karna fariyaad
Guruji pahunchaayenge tujhe tere gantavya par
Tu Unhe rijhaane ka kartavya kar.

Guruji saaf karvaayenge tere karmon ke khaate
Tu apna farz nibhaate nibhaate
Chalte jaana Unkee dikhaayee disha mein
Sudhaar aata rahega teri dasha mein.

Guruji uddeshya poorna karaayenge tere jeevan ka
Tu maalik bhi bann paayega apne mann ka
Tu adhikaari hai Guruji dwaara diye asal dhan ka
Isliye na gavaana ye sunehra mauka jeevan ka.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sunehra Mauka (02/19/2024)

Sundar Sa Shivaalay (02/18/2024)

February 18, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2191
Sundar Sa Shivaalay

Jabb bhi aaye aisa koi daur
Ki tum mehsoos karo swayam ko kamzor
Tabb khud ko yaad dilaao ki Guruji Hain tumhaare saath
Aur Unhonei thaami hai tumhaare jeevan kee doar.

Guruji toh Hain sarvshaktimaan
Guruji toh Hain karunanidhaan
Ve tumhaare dukh se nahin Hain anjaan
Guruji bin kahe kar rahe Hain tumhaara kalyaan.

Sancha hai rishta Guruji aur tumhaara
Ye rishta hai tumhaare har shwaas ka sahaara
Is rishte bin tumhaara ho na paayega abb guzaara
Na jaane is rishte se pehle bhi kaise tumne jeevan hoga guzaara.

Guruji kewal Guru aur pita mata nahin
Guruji kewal meet aur bhraata nahin
Ve toh swayam Hain roop Bhagwaan ka
Isliye aadar karo Unke diye har imtehaan ka.

Tum aacharan karo Guruji kee dee prerna ke aadhaar par
Unke dar par pahunch kar tumne paaya hai Sachkhand ka dar
Tum tyaag do har sanshay aur har darr
Tum har pal Unkee kripa se rahe ho tarr.

Guruji sanvaar rahe Hain tumhaari taqdeer
Na hona abb tum niraash ya pareshaan ya adheer
Unhe har karma arpit kar abb tum jee lo bann kar veer
Tumhaare antas mein sundar se Shivaalay ka niwaas hai ye shareer.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sundar Sa Shivaalay (02/18/2024)

Bheetar Ke Nandi Kee Muskaan (02/17/2024)

February 17, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2190
    Bheetar Ke Nandi Kee Muskaan

Guruji ka ek bhakt thaa deewaana sa
Apnon mein bhi mehsoos karta thaa apne ko begaana sa
Usey Guru Govind hee lagte thei apne
Achche lagte thei usey Unhee ke naam japne.

Bhautik bhaag daud mein uskee zindagi bhi chalti rahi
Har din subah aayi aur shaam bannkar vo dhalti rahi
Utaar chadhaav kee vaadiyon mein kismat haath malti rahi
Antas mein bandagi kee nirmal jwaala jalti rahi.

Guruji ne bakhsha thaa usey simran aur satsang
Chadhta gaya uspar Guruji kee bhakti ka ruhaani rangg
Laukik rangon mein ruchi chhooti dheere dheere
Samajh mein aane lagaa ki kitne farebi hotey hain bhautikvaad ke heere.

Na samet paaya kayi toote huey sapnon ko
Dekha safed jhooth bolte huey usne apnon ko
Har tareh ke anubhav huey usey zindagi mein
Raahat milee toh kewal bandagi mein.

Aisa nahin ki kewal kasht aur dukh aaye
Anekon khushi ke lamhe aur sukh aaye
Guruji kee mehar se Unse har din aur zyaada judta gaya
Sansaar mein rehkar laukik matt se duur mudta gaya.

Guruji ne usey duniya ka asal roop dikha diya
Guruji ne usey sumat bakhshi aur sikha diya
Ki Guruji ka Nandi bannkar rehna hai is sansaar mein
Unke ruhaani saanidhya mein sab sehna hai is sansaar mein
Jabb takk Guruji le nahin jaate Hain uss sansaar mein
Tabb takk yahaan har lamha jeena hai Unmein samaane ke intazaar mein.

Muskuraate huey, Guruji kee mahima gaate huey
Unkee sewa aur Unke hukm mein zindagi bitaate huey
Preeti mein
Sweekriti mein
Bin kisee sawaal ya maang, hokar apeksha se rahit
Jeena hai Guruji kee dee hui prerna ke sahit
Guruji kee raza mein raazi rehna hai
Jo kehna hai vo Guruji se kehna hai.

Atma Paramatama ka hai ansh
Nandi Hain Shivji ka roop
Guruji Hain Shiv avatari
Jis bhakt ne Nandi ke jaise zindagi guzaari
Vo Guruji se juda nahin
Ye baat hai sahi
Yahaan bhi, aur vahaan bhi.

Isliye bann jaaye ye zindagi
Har pal Guruji kee bandagi
Unkee bakhshindagi miltee rahe
Bheetar ke Nandi kee muskaan khiltee rahe.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Bheetar Ke Nandi Kee Muskaan (02/17/2024)

Sukhad Ho Jaaye Ye Jeevan (02/16/2024)

February 16, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2189
       Sukhad Ho Jaaye Ye Jeevan

Guruji ke sangg ruhaani rishte ko shat shat naman
Unhee ke chintan mein leen rahe antarmann
Unka naam japey dil kee har dhadkan
Toh nishchay hee sukhad ho jaaye ye jeevan.

Dinacharya mein har soch har karam
Guruji ke kamal charan mein karein arpan
Mann se kar dein Unhe sarvsamarpan
Toh nishchay hee sukhad ho jaaye ye jeevan.

Fikr kee yaad ko bhool kar karein Guruji ke naam ka smaran
Guruji kar rahe Hain anginat kashton ka haran
Bandagi mein ramm jaayein hum karte huey simran aur manan
Toh nishchay hee sukhad ho jaaye ye jeevan.

Guruji ke shukraguzaar rahein har kshan
Ekatrit karte rahein Unke nirmal naam ka dhan
Unkee ruhaaniyat ke prataap ka karein vinamr vandan
Toh nishchay hee sukhad ho jaaye ye jeevan.

Yaad karaayein swayam ko ki hamein milee hai MahaShiv kee sharan
Khushkismat hain hum ki Guruji ne kiya hamaara chayan
Neevan hokar chalne ka karte rahein hum yatan
Toh nishchay hee sukhad ho jaaye ye jeevan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sukhad Ho Jaaye Ye Jeevan (02/16/2024)

Aparampaar Uddhaar (02/15/2024)

February 15, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2188
            Aparampaar Uddhaar

Param poojya Guruji Maharaj
Swayam Hain Shiv avatari
Adi yogi tapasvi karein Nandi kee savaari
Trinetradhaari nirmohi Unka Shiv roop hai jatadhaari.

Trishul Unka dikhaaye ki Ve Hain Trigunateet
Mahima Unkee aseem aur shabdateet
Neel kanth bannkar dein tyaag kee prerna
Vasuki naag dwaara vikaaron ko vash mein karne kee dein chetna.

Damru divya dhvani Om ka prateek
Sabse duur hotey huey bhi Ve Hain sabhi ke nazdeek
Rudraksh aur japp se jal ko Ve amrit banaayein
Kulhaari se Ve shatru ko daraayein.

Bhasma se yaad dilaayein ki anitya hai sansaar
Kewal atma aur Paramatama hain saara saar
Vairagya ka bhaav utpann karne ka dein protsaahan
Ve pehen kar baagh kee khaal.

Nandi hai yeh shareer
Jis par savaar hai atma
Ye yaad dilaayein Guruji
Jo Hain Guru ke roop mein Paramatama.

Guruji ka chintan kar ke
Mann ko Kashi banaayein
Kailas roopi sachkhand mein
Guruji kabhi toh lekar jaayein.

Rooh kee hai ye arzoo
Dil kee hai ye khwaahish
Guruji se seedhi taar jodein
Na karaayein kisee ke dwaara sifaarish
Judi rahe jo Inn Paramatama se atma kee seedhi taar
Toh Unke kiye aparampaar uddhaar se ho jaayega beda paar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aparampaar Uddhaar (02/15/2024)

Maa Saraswati Kee Pooja (02/14/2024)

February 14, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2187

Maa Saraswati Kee Pooja

Aaj ka sundar sunehra din
Maa Saraswati kee pooja ko hai samarpit
Reeti rivaaj ke anusaar
Saadhak Unhe peele vastra karte hain arpit.

Devi vidya aur vaani kee
Karein hans kee savaari
Veenavaadini Hain dayalu mata
Bhakton ko lagti Hain Ve bahut hee pyaari.

Prem se manaayein bhakt yeh tyohaar
Shraddha bhaav se hotey hain tayyaar
Ghar aur mandir kee safai
Peele rangg kee mithai
Peele aur rangeele suman
Saraswati Mata ka prem bhara vandan
Maa kee archana ghar parivaar ke sangg
Bhakt chaav se pehne peela rangg
Karein bhakt Sharda Maa ka gungaan
Maangein Unse gyan praapti ka vardaan
Maangein Maa se bhakti aur kala ka daan
Arzi lagaayein ki Maa karein kalyaan.

Gyan kee jyot jalaayein Maa Saraswati
Sabhi ke jeevan aur antarmann mein
Bheetar ka andhkaar karein duur
Pradaan karein vidya ka ruhaani noor.

Divya jyot toh hai ek
Chaahe hon prateekatmak vichaar anek
Satyugi sanskaar aur vidya se anugrahit ho jann pratyek
Arzi hai ye har Devi Devta ko maatha tek.

Guruji kee saari sangat ko
Mubarak ho Saraswati Puja ke khaas din kee
Guruji mein Guru sangg milee hai maa kee mamta
Duur hui har kamee jeevan kee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Maa Saraswati Kee Pooja (02/14/2024)

Mann Ka Manthan (02/13/2024)

February 13, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2186
                 Mann Ka Manthan

Guruji dwaara bakhsha simran
Karey hamaare antas ka pavitrikaran
Simran mein bitaaya har anmol kshan
Swachchhata kee oar le chale hamaare kadam.

Jitnee swachchhata hogi bheetar
Antas hoga utna ekaagra simran aur dhyan ke dauran
Aur simran ka jitna prayaas karenge hum insaan
Utnee zyada ekaagrata ka milega hamein vardaan.

Swachchhata dwaara ho paayega yog mein yog
Varna yog mein hota rahega bhog
Swachchhata swayam mein hai dhan
Jiske waseele se ekatrit hon gyan ratan.

Swachchhata aur simran karein ek dooje ka samarthan
Inke dwaara Guruji anugrahit karein hamaara antarmann
Guruji kee mehar se hamaari oar se iska prayaas chale har kshan
Guruji kee kripa se safal ho hamaare mann ka manthan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Mann Ka Manthan (02/13/2024)

Aapki Mahima Anant (02/12/2024)

February 12, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2185
              Aapki Mahima Anant

Param poojya Guruji, Aapki mahima anant
Pyaare Guruji, Aapki jyot akhand
Aasmaan ke bhi paar
Sookshmata ka aadhaar.

Aapki jyot ko dekhna mumkin nahin divya drishti ke bin
Aapki jyot dikh jaaye toh ujaala hee ujaala ho raat din
Samaksh antas ke netra ke
Bilkul parey is kshetra se.

Kshetra, yaani ki shareer hamaara
Kyunki veh toh sthool hai saara ka saara
Aur Aapki jyot ka toh sookshma hai starr
Kyunki vahaan hai avyakt ka dar.

Aap Paramatama ke swaroop
Aap Hain kshetragya
Aap jaagriti kee sunehri dhoop
Aap avikaari aur avyaya.

Aapka hum par poorna adhikaar hai
Aap sampoorna srishti ke aadhaar Hain
Aap yahaan aur vahaan niraakaar Hain
Aap Guru, Aap Parameshwar, Aap sanatan sarkar Hain.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapki Mahima Anant (02/12/2024)

Aap Pooran Paramatama (02/11/2024)

February 11, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2184
                   Aap Pooran Paramatama

Mere param poojya Guruji Maharaj,

Aap Pooran Paramatama, mai musaafir atma
Dono Hain rooh
Is sundar se pyaare se ehsaas ne
Mere dil ko liya hai itnee kareebi se chhoo.

Aapke satya ke sangg ka rangg
Mujh par chadh kar karey mujhe malang
Aap Hain mere angg sangg
Koi is rooh se rooh ke rishte ko nahin kar sakta bhangg.

Kyunki is rishte par hai madhur mohar
Aapke paawan ashirwaad kee
Aap hee paalanhaar Hain mere
Ye bhi kripa hai Aapki.

Aapke saanidhya mein hai ruhaani masti
Is ruhaani safar mein mit jaaye meri hasti
Aap Apne mein mujhe deejiye yoon ramaa
Ki mai sampoornata se Aapki aseemta mein jaaoon samaa.

Is rishte mein duuri ka na ho koi naam-o-nishaan
Aapke kamal charnon ke taley milta rahe mujh nacheez ko sthaan
Aapse Aapko maangne kee vinamr arzi karoon mai naadaan
Uske baad koi maang na rahegi, mere komal karunanidhaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aap Pooran Paramatama (02/11/2024)

Na Buddhi Mein Ho Halchal (02/10/2024)

February 10, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

#2183
       Na Buddhi Mein Ho Halchal

Na buddhi mein ho halchal
Na mann sukh dukh ke aanchal mein raha ho pal
Na ahankar ko poshit kar paaye koi bhi bal
Na kahein ki aaj ka simran hum karenge kal.

Indriyan rahein niyantran mein
Na ruchi ho kisee vishay ke prati aakarshan mein
Doobein na hum bhog vilaas mein
Kewal divya deedar ho antas ke niwaas mein.

Kyunki jabb takk koi bhi duvidha roopi yuddh
antas mein ho chal raha
Tabb takk yog mumkin nahin, mahapurushon ne hai kaha
Guruji ke chintan mein jitna lagega mann
Utnee badhti jaayegi Unmein mann kee lagan.

Mann jabb rahega Guruji kee lagan mein magan
Toh maya mein rehte huey bhi anaasakt reh paayenge har kshan
Raasta beshak nahin itna aasaaan
Kintu Guruji angg sangg Hain subah aur shaam.

Is raaste ka sukoon zaroor aayega raas
Guruji prasann hongei dekhkar das dwaara kiya abhyaas
Besharte nirantar chale ye paawan prayaas
Rehmat karenge Guruji, par kumm se kumm mehnat toh karein hum das.

Kal kee na karein hum intazaar
Abhi se hum ho jaayein tayyaar
Guruji toh karna chaahte Hain hamaara uddhaar
Hum bhi apni neeyat mein laayein sudhaar.

Bilkul bhi duur nahin hai veh kal
Jabb Guruji mehsoos hongei hamein har pal
Roam roam mein antas aur atma ke
Phir har lamha surt judi rahegi Unn Pooran Paramatama se.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Na Buddhi Mein Ho Halchal (02/10/2024)