Honhaar Raahi (03/05/2024)

March 5, 2024

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

#2207
     Honhaar Raahi

Honhaar thaa raahi pyaara
Parishram mein beet-ta thaa uska din saara
Sab kuch chal raha thaa achcha
Uska har vichaar thaa sachcha.

Phir achanak pichhle kisee janam ka koi karam jis se vo thaa anjaan
Aaya is jeevan mein uske saamne bannkar imtehaan roopi tufaan
Uspar thaa Guruji ka ashirwaad mahaan
Apni leela se Guruji karaa rahe thei uske karmon ka bhugtaan.

Rukne si lagg gayi uskee gati
Saath jaise chodne lagi sumati
Kamzor hoti gayi uskee nirnay shakti
Madad na kar paayi vyakulta se mukt honei kee koi bhi yukti.

Na chaahte huey bhi uskee chetna sonei lagi
Mann mein asthirta aur ashanti honei lagi
Kaafi waqt aise hee gaya guzar
Thamm gaya thaa maano uske jeevan ka safar.

Lekin waqt toh nahin thaa ruka
Sahi samay par uska karam thaa katt chuka
Ye namumkin hota Guruji kee kripa ke bin
Raahi phir se utsaahit rehne lagaa raat aur din.

Guruji toh Hain Vaidyanath
Ve toh har pal rahe uss raahi ke saath
Uskee vyakulta, ashanti, asthirta par Guruji ne lagaaya viraam
Uskee nirnay shakti khilne lagi paakar Guruji ka ruhaani paigaam.

Apni sharan mein Guruji katvaate Hain Apne bhakton ke karam
Bahut shukrana Unka ki Unhonei dee hai bhakton ko Apni sharan
Karmon ka katna anivaarya hai adhyaatmik pragati ke liye
Adhyaatmik pragati anivaarya hai janmon ke safar mein sadgati ke liye.

Guruji kee vaddi hai vadiyaayee
Unkee mehar se awashya milegi adhyaatmik oonchaayee
Guruji ne Apne har bhakt par sada kripa hai barsaayee
Guruji kee leela kee gahan hai gehraayee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Honhaar Raahi (03/05/2024)

Leave a comment